Sep 14, 2014

Be'dehaani


Be'dehaani

Kal us ki aik choori tooti to

Woh kuch afsurda si ho gayi

Aur mujhay kehnay lagi

Dekho meri choori toot kar

Haath par lag gayi hai

Aur ab dard hota hai

Mujhay masoomiyat pe us ki hansi si aa gayi

Aur main sochnay laga

Keh meri to hasti tooti hai

Aur mujhay pata bhi nahin chala 

Baat hi ajab si thi


Baat hi ajab si thi

Rooh agar na deta to

Saans deni parti thi

Dil agar na deta to

Jaan deni parti thi

Phir batao kiya karta ?

Rooh ko bachanay main

Saans waar di main ne

Aur kiya kahoon dil ki

Jaan haar di main ne

Ishq mohabbat wali raahain talkh bhout hain


Ishq mohabbat wali raahain talkh bhout hain

Khail nahin hai in par chalna

Saath nibhaana bhout khathan hai

Do pal ki hai khushi ki saa'at

Sadiyon phir be'chaini hai

Chand hi hain qurbat kay lamhay

Phir sunsaan si raatain hain

Sooraj kay neechay mom ka ghar

KAha nahin tha pagal'pan hai

Kaha nahin tha

Aag se mat khailo tum janaa

Jal jaao gi

Sab kuch tum se kaha tha main ne

Her ek baat batai thi

Achi buri her prem kahaani

Main ne tumhain sunaai thi

Lakin zidi larki tum ne

Meri koi baat nahin maani

Wohi kiya na tum ne aakhir

Jis ki apni dil main thaani

Pagal larki

Tez hawa main diya jalaya tha jo tum ne

Aakhir kab tak jalta rehta ?

Hawa se lartay lartay ek din

Bujh hi gaya woh diya tumhara

Lakin tum ko khabar nahin hai

Jis din se woh diya bujha hai

Us din se "Main" sulag raha hoon

Kaha us ne shaakhon se


Kaha us ne shaakhon se

Juda phoolon ko karnay ki

Hawaon ki jo saazish hai

Ussay achi nahin lagti

Faqat ik pal ko jee chaha

Ussay itna to keh do aaj

Mohabbat !

Phool ki patiyon se

Barh kar bhi nazuk hai

Jissay qadmon talay us ne

Kabhi ka rondh daala hai

Aaj ki raat saaz-e-dard na chairr


Aaj ki raat saaz-e-dard na chairr

Dukh se bhar'poor din tamaam huye

Aur kal ki khabar kissay maloom

Dosh-o-farda ki mit chuki hain hadood

Ho na ho ab sehar , kissay maloom ?

Zindagi heech ! lakin aaj ki raat

Azdiyat hai mumkin , Aaj ki raat

Aaj ki raat saz-e-dil na chairr


Ab na dohraa afsaana haye alam

Apni qismat pe so'gawaar na ho

Fikar-e-farda utaar dy dil se

Umar-e-rafta pe ashk'baar na ho

Ehad-e-gham ki hikayatein mat pooch

Ho chukein sab shikayatein mat pooch

Aaj ki raat saz-e-dil na chairr

Raastay dhuwaan dhuwaan


Raastay dhuwaan dhuwaan

Manzelain hain be'nishaan

Khwaab hain lahoo lahoo

Zindgi hai imtihaan

Chup hain kiyon meri tarah

YEh zameen-o-aasmaan

Rat'jagay hain chandani hai aur yaad-e-raftagaan

Khwaab lagti hain bahaarain

Chaa gayi hai youn khizaan

Aarzoo'on kay kafan ki hai yahan koi dukaan ?

Sail-e-gham ka poochiyea na beh gaya mera makaan

Hijar ki hain khandaqein

Teray meray darmiyaan

Naaz utray gi dilon main

Khoon se likhi dastaan 

Kabhi udaas kar denay wali chup si raat main milo


Kabhi udaas kar denay wali chup si raat main milo

Aisi kisi raat main milo

JAb baarish ki tpa tp

Aankhon ka saaz lagay

Baraf giray to

Kisi hasrat ki khamosh awaaz lagay

Baahir ka her mousam

Dil kay apnay mousamon ki zad main aanay lagay

Ya kabhi

Falak pe bikhray taaron ka sakoot

Shor andar ka aur barhaanay lagay

Aisi kisi raat main milo

Jo zaahiran lamha dar lamha  wisaal ki pehli raat lagay

Her bicharnay wale ko

Magar

Aakhri mulaqaat ki saa'at lagay

Kabhi gham shuda rafaqaton kay

Zamanay ki aakhri shab

To kabhi

Naye paimaanay wafa bandhnaay ki raat lagay

Aisi kisi raat main milo

Jab taaluq-e-ulfat ka torna mushkil na lagay

Nezay ki ani ki tarah chubhti mohabbat

Dil se nikaalna mushkil na lagay

Khamosh gaam'zan safar raat ko

Hijar "Raat" kehna mushkil na lagay

Kabhi udaas kar denay wali chup si raat main milo

Kabhi udaas kar denay wali chup si raat main milo

Poocha keh ik bichray taaray ne


Poocha keh ik bichray taaray ne

Ae insaan tu hi bata

Keh insaan kab rota hai ?

Main aik lamhay ko kho si gayi

Aur wajuhaat ko sochti rahi

Koi apna bichar jaye tab ?

Koi apna dukh dy jaye tab ?

Koi apna na apnay tab ?

Koi apna bhout yaad aye tab

Koi apna chor jaye tab ?

Koi apna bhout staye tab

Koi apna kahin kho jaye tab ?

Koi apna jaan churaye tab ?

Koi apna kisi ka ho jaye tab

Koi apna dukh uthaye tab

Koi apna shiddat se chahaye tab ?

Koi apna dil main bas jaye tab?

Koi apna neend churaye tab ?

Koi apna dil dukhaye tab ?

Koi apna kahin mil jaye tab ?

Koi apna aankh churaye tab ?

Koi pana nain milaye tab

Ya koi apna kahin mar jaye tab ?

Shayed yahi to woh baatain hain

Jo beetay dino ki yaad main

Aankhin nam kar jaati hain

Palkain bheegi rehti hain

Dil khoon kay aansoo rota hai

Na jeeta hai na marta hai

NA raaton ko woh sota hai

Phir bhi tum yeh poochtay ho

Keh insaan kab rota hai

Haan insaan tabhi to rota hai

Udaasi barhnay lagti hai



Udaasi barhnay lagti hai

Kisi yaad main gum sum  , thaki haari

Sitaaron kay nagar se shaam jab bhi loat aati hai

Meri aankhon kay veeraan sehan main

Sar ko jhukaye chalnay lagti hai

Udaasi barhnay lagti hai

Meray kaano main jab bhi wasal kay lamhon ki

Ik aahat si aati hai

To meri , Hijar alooda si palkon par sitaaray jaag uth'tay hain

Kisi ki shakal banti aur bikharti hai

Udaasi barhnay lagti hai

Kabhi jab un'ginat sadiyon se chaltay qaaflon ka silsala

Mujh tak ponchta hai

To hijrat paaon se sar'goshiyan si karnay lagti hain

Udaasi barhnay lagti hai

Main jab bhi raah'guzaaron ki kahaani parhnay lagti hoon

Kisi ki yaad meray ghar ki dewaaron pe

Nangay paaon aksar chalnay lagti hai

Udaasi barhnay lagti hai

To mujh ko dil kay be'maqsad dareechon

Taaqchon se jhaankti hai

Aur meray honton ki khamoshi se mujh ko maangti hai

Meray seenay pe phir yeh weshiyaana raqs karti hai

Yeh meray jisam kay kutbay pe koi lafz likhti hai

Udaasi roz barhti hai

Zard patton kay dhair ki teh main


Zard patton kay dhair ki teh main

Mailay kaaghaz chuppa gaya koi

Jin pe taza lahoo se likha hai


Rooth kar is tarah na karna tha

Hum ne aik saath jeena marna tha

Jaan-e-mann

Tum ne be'wafai ki

Kiya kahain had-e- sabar kis ki hai

Kis se poochain yeh qabar kis ki hai ?
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...