Sep 18, 2014

Log log hotay hain


Log log hotay hain

Roshni ki khwaish main

Yahan sadaein lenay ki

Kuch saza to milti hai

Log log hotay hain

Log log hotay hain

In ko kiya khaber jana , aap kay iraadon ki

Khoobsurat aankhon main

Basnay walay khwaabon kay

Rang kaisay hotay hain

Log log hotay hain

Dil ki goad aankhon main palnay walay khwaabon kay

Zakham kaisay hotay hain

Kitnay gehray hotay hain

Kab yeh soch saktay hain

Aisi be'gunnah aankhain

Ghar kay konay khudray main lag kar

Kitna rotay hain

Phir bhi yeh apnay jaisay kisi

Gham zada dil se lag kar ronay lagtay hain

Log log hotay hain

Tohmatain to lagti hain

Roshni ki khwaish main

Toh'maton kay lagnay se

Dil se dost ho jana

Ab ne'dhaal kiya karna

Tohmaton se kiya darna

Mumkin jo agar hota


Mumkin jo agar hota

Hum tum ko bhulaa detay

Yaadon ko

Kafan dy kar

Be'waqat sula detay

Tanhai main jee letay

Tum ko na sadaa detay

Is dil se teray dil tak

Dewaar utha detay

Mumkin jo agar hota

Hum tum ko bhula detay

Tum hi achay thay kisi se kabhi takraar na ki


Tum hi achay thay kisi se kabhi takraar na ki

Tum keh takraar kaykhoo gar bhi na thay

Tum hi achay thay

Jo main jumla-e-arbaab-e-nazar rehtay thay

Itnay sadaa thay keh zakhmon ko hina kehtay thay

Shaher-e-pr'hosla main

Siwa-e-ehal-e-hunar par kabhi tanqeed na ki

Itnay be'bas thay keh jab waqat para

Apni bhi taqeed na ki

Hum buray log hain sach kehtay hain

Hum buray log hain , khush'noodi-e-arbaab-e-asr kay baaghi

Kabhi qatray ko samandar na likha

 Kisi zarray ko bhi sehraa na kiya

Qarz-e-aaina chukaanay kay liye aks se mehroom rahay

Aur insaan se mohabbat ka sila ?

Ik saza yaafta mujrim ki tarah zinda rahay

Meray mann ne matti se kaisa khilona banaya


Meray mann ne matti se kaisa khilona banaya

Bana kar ussay tootnay se bachaya

Woh chalta nahin tha

Ussay chaabi dy kar chalaya

Woh hansta nahin tha

Ussay gud'gudi se hansaya

Woh rota nahin tha

Ussay  maara peeta , rulaya

Woh bhooka tha

Us ko chugaya

Woh khamosh tha

Kiya khabar kis tarah baat karna sikhaya

Woh parhta nahin tha

Bari mushkon se parhaya

Woh larta nahin tha

Ussay zindagi se laraya

Sab ehsaan us kay

Keh us ne khilonay ko kiya kiya sikhaya


MAgar shukar tera keh tu ne khilonay ko

Maan se milaya

Gham-e-zindagi teri raah main , shab-e-aarzoo teri chah main


Gham-e-zindagi teri raah main , shab-e-aarzoo teri chah main

Jo ujjar gaya woh basa nahin , jo bichar gaya woh mila nahin

Jo dil-o-nazar ka saroor tha

Meray paas reh kar bhi door tha

Woh ik gulaab umeed ka

Mere shak-e-jaan pe khila nahin

Mera hamsafar jo ajeeb tha

To main bhi hoon ajeeb tar

Ussay manzalon ki khabar nahin mujhay raaston ka pata nahin

Pas-e-karwaan , sar-e-raah guzar main haara hoon to is liye

Keh qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahin

Shaam kay paich-o-kham sitaaron se


Shaam kay paich-o-kham sitaaron se

Zeena zeena , utar rahi hai raat

Youn saba paas se guzarti hai

Jaisay keh di kisi ne pyaar ki baat

Sehan-o-zindaan kay be'watan ashjaar

Sar nagoon mehav hain bananay main

Daaman-e-aasmaan pe naqsh-o-nigaar

Saneha-e-baam par damakta hai

Meharbaan chandani ka dasht-e-jameel

Khaak main ghull gaya hai aab-e-najoom

Noor main ghull gaya hai arsh ka neel

Sabz goshon main neelgon saaye

Leh'lahaatay hain , jis tarah dil main

Mouj-e-dard-e-firaaq-e-yaar aye

Dil se paihaam khyaal kehta hai

Itni sheerein hai zindagi is pal

Zulam ka zehar ghoolnay wale

Kamraan ho sakain gay aaj na kal

Jalwa gaah-e-wisaal ki shammain

Woh bhuja dil chukay , agar to kiya ?

Chaand ko gul karain , to hum jaanain

Mujh ko bhi baatain kab aati hain


Mujh ko bhi baatain kab aati hain

Main to bas khamosh sa shair

Ulfat chahat kay rangon se

Dil ki khaali tasveeron main

Koi mohabbat likh deta hoon

Aur kabhi dewaar se lag kar

Koi mohabbat ro deta hoon

Aur kabhi aankhon aankhon main

Sari baatain keh jaata hoon

MAin to aik khamosh sa shair

Mujh ko baatain kab aati hain

Mujh ko baatain agar aatiein to

Tum kiya mujh ko chor jaati

Mere sapnay tor kar jaati

Kiya meri aankhon main dukh kay

Itnay aansoo dekh sakti thi

Mera kall sarmaya tha jo

Kiya mujh se woh le sakti thi

Mujh ko baatain agar aatein to

Main tum se woh sab kehta

Jo tum sunanay ki khwaish main

Saray raastay bhool aye ho

Main tehra khamosh sa shair

Mujh ko baatain agar aatein to

Tum hi meray khwaab sajaati

Youn na tanha chor kar jaati

Kaash mujhay bhi baatain aatein

Khwaab martay nahin


Khwaab martay nahin

Khwaab dil hain na aankhain na saansain keh jo

Reza reza huaye to bikhar jayein gay

Jisam ki mout se yeh bhi mar jayein gay

Khwaab martay nahin

Khwaab to roshni hain , nawa hain , hawa hain

Jo kaalay paharon se rukhtay nahin

Zulam kay douzakhon se bhi Phuktay nahin

Roshni aur nawa aur hawa kay aalam

Maqtalon main poch kar bhi jhuktay nahin

Khwaab to to harf hain

Khwaab to noor hain

Khwaab suqraat hain

Khwaab mansoor hain

Ab ki baar mousam main sakhtiyaan bhout hon gi


Ab ki baar mousam main sakhtiyaan bhout hon gi

Din ki roshni main tareekiyaan bhout hon gi

Qeh'qahon kay peechay bhi dard cheekhtay hon gay

Meray dil kay aalam ko

Aur meray her gham ko

Koi poochnay wala , haan , magar nahin ho ga

Hijar ki aziyat main ashk to bhout bahaanay hain

Teri sard'mehri ne yeh bhi dil dikhaanay hain

Rutt bahaar ki ho gi

Aur dil pe patt jhar ka saniha barpa hoga

Koi mil raha ho ga

Aur koi juda ho ga

YEh jo hadsa ho ga is se barh kay kiya ho ga

Apni kushak aankhon main dard kay sailaabon ko

Sabar se chupana hai

Aur teri judai kay zakham bhi chuppanay hain

Teri sard mehri ne yeh din bhi dikhaanay hain 

Dua-e-neem shab


Dua-e-neem shab

Sadaa-e-aarzoo

Wisaal-e-yaar kay

Khyal-o-khwaab main

Jo ho gayi magan

To lafaz kho gaye

Dua-e-neem shab

Adhoori reh gayi

Jo baat thi bhout

Zaroori reh gayi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...