Nov 23, 2014

Palkon ko aansoo'on se bhigoya na keejiye


Youn dosti kay naam ko ruswa na keejiye
Tark-e-taaluqaat ka charcha na keejiye

Jurm-e-sitam ka paas bhi ulfat main shart hai 
Palkon ko aansoo'on se bhigoya na keejiye

Aisa na ho umeed se rishta hi toot jaye 
Her roz mujh se wada-e-farda na keejiye

Hamdard jis ko apna samjhtay rahay hain aap 
US ka hi zindagi main bharosa na keejiye

Dosti pehli baarish ki boondon main hai


Dosti pehli baarish ki boondon main hai 
dosti khiltay phool ki khushboo main hain 

Dosti ugtay suraj ki kirno main hain 
Dosti her naye rishtay ki umeed hai 

Dosti khwaab hai , dosti jeet hai 
Dosti pyaar hai , dosti geet hai 

Dosti sang chalti hawao'on main hai 
Dosti in barasti ghata'on main hai 

Dosti doston ki wafaon main hai 
Haath utha kar jo maangi hai dua 

Dosti ka asar in dua'on main hai 
Dosti pehli baarish ki boond'on main hai
 

Nov 22, 2014

Ghalti meri thi



Ghalti meri thi 

Us ne mujhay chaha hi nahin main chahat samjh baithi 

Ghalti meri thi 

Us ki pal bhar ki muskurahat ko pyaar samjh baithi

Ghalti meri thi 

Woh to her baat pe haan karta tha main hi iqraar samjh baithi 

Ghalti meri thi 

Us ne mujh se ziyaada ehmiyat di meray doston ko 
Main us ki yeh ada mazaakh samjh baithi 

Ghalti meri thi 

Us ne kaha bhi tha koi aur hai meri zindagi main 
Main hi khud ko us ki zindagi samjh baithi 

Ghalti meri thi

Ungli pakar kar chalna shikaya tha jin ko


Ungli pakar kar chalna shikaya tha jin ko 

Qadam un se  mila kay chalna mohaal  ho agya 

Shikayat yahi rahi ho gi maa baap ki meray bhi mujh se 

Kaash is ehsaas ne us waqat jagaya hota 

Aaj jis dard se main guzar raha hoon 

Maa baap ka woh dard mitaya hota

Meri yaad ne ussay khoob rulaya ho ga


Kitni aziyat se mujhay us ne bhulaya ho ga 
Meri yaad ne ussay khoob rulaya ho ga 

Baat be baat jo aankh us ki jhalki ho gi 
Us ne chahray ko baazo'on main chupaya ho ga 

Socha ho ga us ne din main kai baar mujhay 
Naam hathali pe bhi lkh likh kar mitaya ho ga 

JAhaan us ne mera zikar suna ho ga kisi se 
Us ki aankhon main koi ansoo to aya ho ga 

Raat ko bhi dair tak nend na ayi ho gi 
Us ne takiyea ko bhi seenay se lagay ho ga 

Ho kay nidhaal meri yaadon se us ne 
Meri tasveer se sar apna tikaya ho ga 

Poocha ho ga jo kisi ne us ki haalat ka sabab 
US ne baaton main khoob us se chupaya ho ga 

Jab kabhi chaand ko dekha ho ga akelay us ne 
Ussay mera pyaar bara yaad aya ho ga 

Tum kiyon banay thay dil ka sahaara jawaab do


Tum kiyon banay thay dil ka sahaara jawaab do

Ab kahaan hai woh pyaar tumhara jawaab do 

Kisi ko tha naaz apni adaaon pe her gharri 

Hum to seh na sakain gay judai ka gham 

Yeh qoul tha mera keh tumhara jawaab doon 

Ek taraf zindagi ek taraf mout hai 

Ab kis taraf karo gay ishaara jawaab do

Dasht-e-ghurbat main muflison ka lahoo aam bikta hai


Dasht-e-ghurbat main muflison ka lahoo aam bikta hai 
Kisi ka jism bikta hai , kisi ka naam bikta hai 

Duniya day gi kiya tum ko , aur tum lo gay kiya is se ?
Aa mera daaman thaam keh mehkada-e-jaam bikta hai 

Hirs kay bazaaron main hawa ki baiti ka aanchal 
Pehlay subho ko bikta tha magar ab shaam bikta hai 

Ameer-e-shaher ki mehlaat ki baat bhi khoob hai 
Magar fakeer-e-shaher ki goad main araam bikta hai  

Agar woh pyaar kar leti


Agar woh pyaar kar leti 
Mera daaman pakar leti 

To jeevan main faqat us se 
Mohabbat farz ho jaati 
Mohabbat qarz ho jaati

Magar 

Acha kiya us ne 
Mujhay samjh kay chal nikli 
Mujhay thukra kay chal nikli 
Bhout nadaan si hai woh 
Abhi anjaan si hai woh 
Kahaan maloom hai us ko 
Mohabbat zindagi main bas 
Faqat ik baar milti hai 
Agar thukraa kay chal niklain 
To umrain beet jaati hain 
Mohabbat ki tamana main 
Magar 
Her aik raastay pe 
Sirf ruswai milti hai 
Faqat tanhai milti hai 

Yaar kisi qaatil se kabhi pyaar na maango


Yaar kisi qaatil se kabhi pyaar na maango 
Apnay hi galay kay liye talwaar na maango

Gir jaao gay tum apnay maseeha ki nazar se 
Mar kar bhi ilaj-e-dil-e-beemaar na maango 

Khul jaye ga is tarah nigaahon ka bharam bhi 
Kaanton se kabhi phool ki mehkaar na maango

Sach baat pe milta hai sada zehar ka pyaala 
Jeena hai to phir jurrat-e-izaar na maango

Us cheez ka kiya zikar jo mumkin hi nahin hai 
Sehra main kabhi saya-e-dewaar na maango

Ajeeb karb main guzri , jahaan jahaan guzri


Ajeeb karb main guzri , jahaan jahaan guzri 
Agarchay chahnay walon kay darmiyaan guzri 

Tamaam umar jalaatay rahay chragh-e-umeed 
Tamaam umar umeedon kay darmiyaan guzri 

Guzar gayi jo teray saath , yaad gaar hai woh 
Teray baghair jo guzri , balaa-e-jaan guzri 

Mujhay sakoon myussar nahin to kiya gham hai 
Gulon ki umar to kaanton kay darmiyaan guzri 

Ajeeb cheez hai . yeh gardish-e-zamana bhi 
Kabhi zameen pay , kabhi misal-e-asmaan guzri
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...