Dec 26, 2014

Us kay haath par apna naam daikha to main bhout khush hua


Us kay haath par apna naam daikha to main bhout khush hua 

Woh baray masoom se lehjay main bola teray hum naam aur bhi hain

Hum zindagi ki qeemat ko jaan hi na sakay


Hum zindagi ki qeemat ko jaan hi na sakay 

Warna kisi ki khatar khud ko itna barbaad na kartay 

Toot jaye na bharam , hont hilaon kaisay


Toot jaye na bharam , hont hilaon kaisay
Haal jaisa bhi hai , logon ko sunaon kaisay

Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai
Main teray gham ko zamanay se chupaon kaisay

Tu hi bata meri yaadon ko bhulaanay walay
Main teri yaad ko is dil se bhulaaon kaisay

Phool hota to teray dar pe saja bhi rehta
Zakham lay kar teri dehleez par aaon kaisay

Tu rulaata hai to rula mujhayji bhar kay
Teri aankhain hain meri

Hum zindagi ki qeemat ko jaan hi na sakay


Hum zindagi ki qeemat ko jaan hi na sakay 

Warna kisi ki khaatar khud ko itna bar'baad na kartay

Teray khayal ko dil se kabhi juda na karon


Teray khayal ko dil se  kabhi juda na karon

Teray baghair to main saans bhi liya na karon 

Jo tu mila to mujhay mashwara diya dil ne 

Keh ab Khuda se koi air Iltajaa na karoon 

Wafa ki raahon main rakh to diya hai main ne qadam

Ab apni jaan bhi jaye to main gila na karon

Tujhay Oorhon ya tera libaas ho jaaon


Tujhay Oorhon ya tera libaas ho jaaon 
Teri ragon main dhal kay ek ehsaas ho jaaon 
Ek raat jo milay mujhay teri zaat se 
Tu samandar banay , aur main pyaas ho jaayon 
Teray wajood se hai meray chehray pe khushiyon ki dhanak
Tera chehra na dekhon to udaas ho jaaon 
Faqat itni si khwaish hai keh teri zindagi main shamil rahoon 
Phir bhalay qissa banoo ya qiyaas ho jaaon 
Teray lab , teray haath mera her ik naqsh amar kar lain 
Tu mujhay bhool na paye itna khaas ho jaaon

Ae dil bhool ja duniya se dil lagana


Ae dil bhool ja duniya se dil lagana 

Wafa karo to saza detay hain , khamosh rahao to bhula detay hain

Tum bhujha kar to chalay ho meri yaadon kay chragh


Tum bhujha kar to chalay ho meri yaadon kay chragh 

Kiya karo gay kahin raastay main agar raat ho gayi to

YEh teri justagoo main rehnay kay niteejay niklay


YEh teri justagoo main rehnay kay niteejay niklay

Ab safar na bhi ho muyassar to thak jaatay hain

Hum na'daan thay jo us ko apna hamsafar samjh baithay


Hum na'daan thay jo us ko apna hamsafar samjh baithay 

Jo chalta tha meray saath lakin ussay talaash kisi aur ki thi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...