Jan 8, 2015

Ek khoobsurat dil


Ek khoobsurat dil 

Hazaar khoobsurat chehron se ziyada behtar hota hai 

Is liye zindagi main hamesha 

Achay log chuno 

Jin ka dil , chehray se ziyada khoobsurat ho

MAin paa kar shayed tumhain kuch ehsaas na ho lakin ik din


MAin paa kar shayed tumhain kuch ehsaas na ho lakin ik din 

Mujhay khonay ka gham tumhain bhout tarpaye ga

Bikhra hua gulaab koi dekhta nahin


Bikhra hua gulaab koi dekhta nahin 
MAin woh hoon jis ka haal koi dekhta nahin 

Itna to sochtay hain sabhi , main udaas hoon 
MAin kiyon udaas hoon koi poochta nahin

YEh aansoo yeh gham kam nahin hon gay


YEh aansoo yeh gham kam nahin hon gay 

Yeh yaadain yeh lamhay her pal nahin hon gay

Bita liya karo kuch pal hamaray saath

Bhout yaad karo gay jab hum nahin hon gay

MAin mar jaaon to mera dil nikaal kar us be'wafa ko dy dena


MAin mar jaaon to mera dil nikaal kar us be'wafa ko dy dena

Main nahin chahta meray marnay kay baad woh khelna chor dy

Hum to bichray thay tumhain apni yaad dilaanay kay liye


Hum to bichray thay tumhain apni yaad dilaanay kay liye 

Magar tum ne to hamaray bina jeena seekh liya

Unhain tafseel se kaisay suna'ein yeh qissa mohabbat ka "Mohsin"


Unhain tafseel se kaisay suna'ein yeh qissa mohabbat ka "Mohsin"

Keh woh masroof hain ab tak hamara dil dukhaanay main

Subaq raftaar lamhon ki haddain tarteeb deta hoon


Subaq raftaar lamhon ki haddain tarteeb deta hoon 
Sehar ki saans ginta hoon shabbain tarteeb deta hoon

MAin aab-e-zarr likhta hoon usi ka naam shairon main 
Sunehray lafz bunta hoon unhain tarteeb deta hoon 

Ussay sochon to pehlu se sirak jaata hai dil mera 
MAin dil pe haath rakh kar dharkanain tarteeb deta hoon 

Meray logon ki niyat main yazeedi wasf hai "Haseeb"
Wohi mujh ko mitaatay hain jinhain tarteeb deta hoon

Phir nahin bastay woh dil jo ik baar ujar jaatay hain


Phir nahin bastay woh dil jo ik baar ujar jaatay hain 

Qabrain jitni bhi sanwaro, koi zinda nahin hota

Churao nazrain , churaao daman , badal kay rasta , barhaao uljhan


Churao nazrain , churaao daman , badal kay rasta , barhaao uljhan

Tumhain duaon se phir bhi main ne , jo paa liya to kiya karo gay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...