Feb 4, 2015

Koi gila nahin hai mujhay tumharay na yaad karnay ka


Koi gila nahin hai mujhay tumharay na yaad karnay ka 

Ujrray huwey chaman ko to prinday bhi chor jaatay hain

Teri arzoo main hum ne baharon ko dekha


Teri arzoo main hum ne baharon ko dekha 
Teray khayalon main hum ne sitaron ko dekha 

Hamain pasand tha bas aap ka saath 
Warna in aankhon ne to hazaron ko dekha

Subha hotay hi teray shaher se jaana hai mujhay


Subha hotay hi teray shaher se jaana hai mujhay 
Aaj ki raat zara mujhay mana kar sona 

Koi na sunay ga meray baad dukh tumharay 
Mujhay apna her dukh suna kar sona 

Chalay jayein gay to roya karo gay yaad kar kay 
Sirf aaj ki raat hai mujhay apna bana kar sona 

Hum to toot kay chahtay thay tumhain 
Tum ne hamain kiyon na chaha yeh baat bata kar sona 

Shayed meray aansoo tujhay khareed lain 
Aaj meray aanso'on ki qeemat laga kar sona

Tujhay fursat kahan hai chahat walon se baat karnay ki


Tujhay fursat kahan hai chahat walon se baat karnay ki 

Woh hum hain jo her raat teri kheriyat ki dua maang kar sotay hain

Sahib youn na jhanko Ghareeb kay dil main


Sahib youn na jhanko Ghareeb kay dil main 

Yahan hazaron hasratein be'libaas rehti hain 

Chalo tum ko milaata hoon main us mehman se pehlay


Chalo tum ko milaata hoon main us mehman se pehlay 
Jo meray jism main rehta tha meri jaan se pehlay 

Koi khamosh ho jaye to us ki khamoshi se dar 
Samandar chup hi rehta hai kisi toofan se pehlay 

Mujhay jee bhar kay apni mout ko to dekh lenay do 
Nikal jaaye na meri jaan is armaan se pehlay 

Meri aankhon se behtay motiyon ka sailaab dekho 
YEh maala toot jati hai teri muskaan se pehlay 

Purana dost hoon tera mera yeh farz banta hai 
Tujhay hoshiyar kar doon main teray nuqsaan se pehlay

Koi to meray khayalon main chahnay wala ho


Koi to meray khayalon main chahnay wala ho 
Mohabbat kay khazanay lutaanay wala ho 

Us aik shakhs ko duniya ki her khushi de doon 
Jo meray dard ko apna banaanay wala ho 

Mujhay bhi apni wafaon par naaz hai lakin 
Yahan koi to wafa Aazmanay wala ho 

Khuda gawah hai bari mushkil se milta hai 
Woh ik dil jo mohabbat nibhaanay wala ho

US ne mujhay parinda samjh kar barish main uraa diya


US ne mujhay parinda samjh kar barish main uraa diya 

Ussay yeh nahin pata keh baarish min urnay walay prinday kabhi lota na kartay

Woh keh gaya mera intizaar mat karna


Woh keh gaya mera intizaar mat karna 
Main kahun to bhi Aitabaar mat karna 

YEh bhi kaha keh mujhay pyaar nahin tum se 
Aur yeh bhi keh gaya keh kisi aur se payar mat karna

Qismat doosra moka nahin deti


Qismat doosra moka nahin deti 
Duniya ajnabi ko panah nahin deti 

Zindagi se itna pyaar mat karna Mohsin
Kiyon keh mout kabhi rishwat nahin leti 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...