Feb 14, 2015

Dil youn dharka keh parishaan hua ho jaisay




Dil youn dharka  keh parishaan hua ho jaisay 
Koi be'dihani main nuksaan hua ho jaisay 

Rukh badalta hoon to sha'rag main chubhan hoti hai
Ishq bhi jung ka maidaan hua ho jaisay 

Jism youn lams-e-rafaqat kay asar se nikla 
Doosray dour ka samaan hua ho jaisay 

Dil ne youn phir meray seenay main fakeeri rakh di 
Toot kar khud hi pashaimaan hua ho jaisay 

Thaam kar haath mera aisay woh roya Mohsin 
Koi kaafir se musalman hua ho jaisay

Feb 11, 2015

Arsa beeta hai bin dekhye janay ab woh kaisi ho gi kaisi ho gi


Pagal woh kar deti ho gi 
ab bhi jab woh hansti ho gi 
Mujh ko to barbaad kiya hai 
Khud bhi shayed roti ho gi 

Arsaa beeta hai bin dekhye 
Janay ab woh kaisi ho gi 
Us kay haath ki rekhaon main 
ik rekha meri bhi ho gi 

Jis din us se milna ho ga 
shaam bhi uss kay jaisi ho gi 
Dulhan ban kar woh is dil main 
Socho kaisi lagti ho gi 

Jin haathon ko main en chooma 
Un ko ab tak tak'ti ho gi 
Sun kar mera naam woh shayed 
Mujh ko yaad to karti ho gi 

Arsa beeta hai bin dekhye 
Janay ab woh kaisi ho gi kaisi ho gi 

Gham ki dukaan khol kar baitah huwa tha Sahil


Gham ki dukaan khol kar baitah huwa tha Sahil 

Aansoo nikal paray hain kharidaar dekh kar

Ae jal'laad sooli charha do ab is ko


Ae jal'laad sooli charha do ab is ko 

Bhout kar li barbaadi nasal-e-Aadam ki ishq ne

Tum ko kya khabar hum udaas logon par


Tum ko kya khabar hum udaas logon par 

Shaam kay sabhi manzar ungliyaan uthatay hain

Aankh samandar , lab sehra , aur chehray pe hoo ka Aalam


Aankh samandar , lab sehra , aur chehray pe hoo ka Aalam 

Raaz chupanay ki koshish main , tum to charcha kar baithay

Meray wajood ko tu samait lay main bikhar raha hoon zara zara


Meray wajood ko tu samait lay 
Main bikhar raha hoon zara zara 

Meray aanso'on ko bhi poonch lay 
Main sisak raha hoon zara zara 

Meri chahaton ko samjh kabhi 
Meri hasraton ka khayal kar 

Teray deedar ki ik aarzoo main 
Main tarap raha hoon zara zara 

Apnay payar ka ik diya 
meri raah main tu jala kabhi 

Andheri raat ka naag mujhay 
das raha hai zara zara 

Aa dil pe meray haath rakh 
Meri dharkano ko qaraar de 

Meri saans to hai chal rahi 
par jee raha hoon zara zara

Mujhay sonay do zindagi bhar ka thaka hua hoon


Mujhay sonay do zindagi bhar ka thaka hua hoon 
Kuch dair ko to araam lenay do 

Safar zeest main guzri umar 
Kisi ki talaash main katti umar 

Sar gardaan raha umar bhar 
Dukh se naata raha umar bhar 

Sukh-o-chain ko raha main tarasta 
Apnay hi aansoo raha peeta 

Zulam her ik ka sehta raha 
Chot kha kay bhi main muskurata raha 

Din meray liye azaab thay 
Raaton ko teri yaad kay nisaab thay 

Khushiyon kay kuch sapnay thay 
Zulam-o-sitam karnay walay apnay thay 

Dukhon ko damanmain samait'ta raha 
Tanhai main akela rota raha 

Aankhon ka saath paani chor gaya 
Sagar apni rawani chor gaya 

Aaj ik khushi ka lamha aaya 
Maa kay jaisay thapak kay mujhay sulaaya 

Apni laash pe mujhay ronay do 
Apni miyyat pe maatam mujhay karnay do 
Logo mujhay sonay do

Phir yaad bhout aayi gi zulfon ki ghanni shaam


Phir yaad bhout aayi gi zulfon ki ghanni shaam 

Jab dhoop main saaya koi sar par na milay ga

Farz karo hum ehal-e-wafa hon


Farz karo hum ehal-e-wafa hon 

Farz karo dewane hon 

Farz karo 
yeh dono baatein jhooti hon afsanay hon 

Farz karo  
ye jee ki bipta jee se sunaayi hi 

Farz karo 
Abhi aur ho itni aadhi hum ne chupai ho 

Farz karo  
Tumhain khush karnay kay dhoonday hum ne bahanay hon 

Farz karo 
ya nahin tumharay sach much meh'khanay hon 

Farz karo  
YEh rog ho jhoota jhooti pareet hamari ho 

Farz karo 
IS preet kay rog main saans hum par bhaari ho 

Farz karo  
yeh jog ba jog keh hum ne dhong rachaya ho 

Farz karo 
Bas yahi haqeeqat baaqi sab maaya ho 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...