Mar 21, 2015

Kuch khwaab thay meri aankhon main


Kuch khwaab thay meri aankhon main

Tujhay paa lenay ki chahat thi

Chand lafzon main hi kehta hoon

Mujhay tum se bhout mohabbat thi

Par tu kya janay chahat ko

Tujhay ho jaati to poochtay hum

Dil jab jab toot kay rota hai

Kiya dard tumhain bhi hota hai

YEh khwaab haqeeqat ho jaye

Kisi apnay jaisay sang'dil se

Tujhay kaash mohabbat ho jaye

Abhi tum nazuk phool ho , sambhalo apnay jazbon ko


Abhi tum nazuk phool ho , sambhalo apnay jazbon ko 

Yeh titliyan , kachay phoolon ka bhout nuksaan karti hain

Toot kar bhi yeh kambakht dharakta rehta hai


Toot kar bhi yeh kambakht dharakta rehta hai 

Main ne is duniya main dil sa koi wafadaar nahin dekha

Zameen pe chal na saka aur aasmaan se bhi gaya


Zameen pe chal na saka aur aasmaan se bhi gaya 
Katwa kay par woh parinda uraan se bhi gaya 

Bhula diya to bhulanay ki intiha kar di 
Ab main us shakhs ky weham-o-gumaan se bhi gaya 

Kisi kay haath se nikla hua teer hoon main 
Jo hadaf ko choo na saka aur kamaan se bhi gaya 

Tabah kar gayi mujhy pakkay makaan ki khwaish 
Main apnay gaaon kay kacchay makaan se bhi gaya 

Paraai aag main kooda to kiya mila tujh ko Wasi 
Ussay bacha na saka aur apni jaan se bhi gaya 

Apnay matlab kay ilawa kon kisi ko poochta hai


Apnay matlab kay ilawa kon kisi ko poochta hai 

Bina rooh kay to ghar walay bhi miyyat ko nahin rakhtay

Aankhein ro pari na koi peghaam aaya


Aankhein ro pari na koi peghaam aaya 
Bhool gaya woh hamein na koi salam aaya 

Meri tanhai mujh se boli 
Ab bata ? ab meray siwa  kon teray kaam aaya

Main mar jaaon to meray sirhanay na bithana us ko


Main mar jaaon to meray sirhanay na bithana us ko 
Bhout tasali dena bhout pyaar se samjhana us ko 

Ghoomnay ka bahana kar kay door fizaon main kahin le jana us ko 
Woh be'wafa hai us waqat yeh ehsaas na dilaana us ko 

Us kay samnay na karna baatein aisi keh meri yaad aa jaye
Meray tafreeh kay mashgalay suna suna kay hansana us ko 

Woh roye gi bila'wajeh to meri rooh tarap uthaye gi 
Tum aisa karna meri mout ka hi na batana us ko
 

Main ne ro kar kaha mujhay chor do ya tor do


Main ne ro kar kaha mujhay chor do ya tor do

Woh be'wafa hans kar bolay itnay na'yaab khilonay roz kaha miltay hain

Main mar jaaon to ussay khabar bhi na honay dena


Main mar jaaon to ussay khabar bhi na honay dena

Masroof sa shakhs hai woh kahin us ka waqat bar'baad na ho jaye

Na rang aankhon ka laal rakhna


Na rang aankhon ka laal rakhna 
Na veeran veeran sa haal rakhna 

Jo chahaton main likhay thay hum ne 
Woh lafz saray sambhaal rakhna 

Machal machal kay adaa dikhana
Adaa kay andar kamaal rakhna 

Tujhay dilon ki mili hakoomat 
To shahon jaisa jalaal rakhna 

Meri duaein hain saath teray 
Bas apna thora khayal rakhna 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...