Mar 27, 2015

Kehnay ko saath apnay aik duniya chalti hai



Kehnay ko saath apnay aik duniya chalti hai 

Par chup kay is dil main tanhai palti hai 

Bas yaad saath hai 

Teri yaad saath hai , , , , , !

Pehlay dil ki ujrri zameen par khawaab mohabbat kay sajaye


Pehlay dil ki ujrri zameen par 
Khawaab mohabbat kay sajaye
Phir , ,  , ,  ,!
Meri aankhon main kuch deep jalaye
Kabhi cyhaand , kabhi gulaab kaha 
To , ,  , , ,!
KAbhi sapno ki raani kaha 
Phir , , , ,  ,!
Woh meri zindagi ban gaya 
Aur , ,  , ,!
Jab us ki mohabbat meri rooh ko deemak ki tarah lag gayi
To , , , , , ,  , ,!
Us ne mujhay chor diya

Tum ko maloom hai keh shaam-o-sehar


Tum ko maloom hai keh shaam-o-sehar 

Bas tumhein sochta raha hai koi

Raat akaash par ghatta thi bhout Chaand aankhon main aa gaya logo


Raat akaash par ghatta thi bhout 
Chaand aankhon main aa gaya logo
Us ne dukh sukh hazaar keh daalay 
Mujh se kuch na kaha gaya logo
Keh raha tha keh dard ne mujh ko 
Sakhat pathar bana diya kab ka 
Jheel aankhon ne Orh kar kaai 
Mujh ko ghar bana diya kab ka 
Keh raha tha keh ab mera sagar 
Meri jaanib kashish nahin karta 
Dukh ki hairat main doobi kirno ko 
Apni baanhon main ab nahin bharna 
Keh raha tha keh ab meri kirnein 
Be'ghar ka azaab sehti hain 
Orhay kaali ghatta sisakti hai 
Wasal rut ko sairaab kehti hai 
Keh raha tha keh aasmaan dil ka 
Shab ka aalma hai gham ki sill jaisa
Subha ka chehra zard hota hai 
Main ne chup chaap
Saray dukh sun kar 
Apnay sar ko jhuka diya logo
Aankh se behtay sill dard kay saath 
Chand ko bhi baha diya logo
Apna sapna mitta diya logo
Chand main ne baha diya logo

Yeh kab kaha tha nazaron se khouf aata hai


Yeh kab kaha tha nazaron se khouf aata hai 
Mujhay to chand sitaron se khouf aata hai 

Main dushmano kay kisi waar se nahin darta
Mujhay to panay hi yaaron se khouf aata hai 

Khizan ka jabar to seenay pe rok letay hain 
Hamein udaas bahaaron se khouf aata hai 

Milay hain dosto be'saakhiyon se gham itnay
Meray badan ko sahaaron se khouf aata hai 

MAin iltafaat ki khandaq se door rehta hoon 
Ta'luqaat kay ghaaron se khouf aata hai

Kaha us ne mujhay tab waqa'ei tum se mohabbat thi


Tab Aur Ab 

Kaha us ne 
Mujhay tab waqa'ei tum se mohabbat thi 
Kaha us ne 
Mujhay to aaj bhi tum se mohabbat hai 
Woh tab ki baat karti hai 
Main ab ki baat karta hoon 
Magar jo faasla 
Tab aur ab kay darmiyaan haayel hai 
Woh hum se to mil kar bhi smaita jaa nahin sakta 
Woh ab tak aa nahin sakti 
Main tab ko paa nahin sakta

Juda huye hain to kya hua hai , yahi to dastoor-e-zindagi hai


Juda huye hain to kya hua hai , yahi to dastoor-e-zindagi hai 

Koi bhi rutt ho , na chahaton ko zawal ho ga , yeh teh hua tha 

Aayo keh Faizaan kashtiyon ko jala dain gum'naam saahilon par 

Keh ab yahan se na wapisi ka sawal ho ga , yeh teh hua tha

Aadat hi bana li hai is shaher kay logon ne


Aadat hi bana li hai is shaher kay logon ne 

Andaaz badal lena 
Awaaz badal lena 
Aghiyaar wohi rakhna
Ehbaab badal lena 
Duniya ki mohabbat main 
Atwaar badal lena 
Mousam jo naya aaye
Raftaar badal lena 

Aadat hi bana li hai is shaher kay logon ne 

Raastay main agar milna 
Nazron ko jhuka lena 
Awaz agar do to 
Katraa kay nikal jaana
Her ik se juda rehna
Her ik se khafa rehna
Her ik ka gila karna
Jaatay huye raahi ko 
Manzil ka pata de kar
Raastay main rula dena

Aadat hi bana li hai is shaher kay logon ne 


December main apni aankhon ki nami se


December main apni aankhon ki nami se
mujhay yeh matti nam karni hai
Ta keh ugg sakay 
Is banjar zameen par
Woh fasal-e-gul jis ka izhaar 
Iqbal kay lafzon main hai

Ussay kaho keh ab main saans lena chahta hoon


Ussay kaho keh ab main saans lena chahta hoon 

Meray wajood se yaadon ki rasiyaan khol de
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...