Apr 22, 2015

Main kiyon ussay pukaaron keh loat aao eid aayi hai


Main kiyon ussay pukaaron keh loat aao eid aayi hai

Kya ussay khabar nahin keh kuch bhi nahin meri eid us kay baghair

Eid ka din hai khushi bhout bari hai


Eid ka din hai khushi bhout bari hai 
Is par bhi woh dareechay main udaas kharri hai 

Hain khushiyan mananay main magan ghar kay sabhi log
Aur us ki aankhon main to sawan ki jharri hai 

Sab khushiyan hain us ki teray naam se mansoob 
Yeh ehad nibhanay main woh her ik se larri hai 

Aa jaao keh us ki khushiyan bhi hon dobala 
Muddat se jo aas ki sooli pe charri hai 

Suno ! Eid pe apno ko parishaan nahin kartay
Pyaar karo pyaar main taqat barri hai

Youn teri chahtein sambhali hain


Youn teri chahtein sambhali hain 

Jaisay eidi ho meray bachpan ki

Bin sajan kay meri eid udaas hai


Bin sajan kay meri eid udaas hai 
Manaon kaisay main khushi deed udaas hai 

Raqsan hai hon ton pe udaasi 
Jo milay khushi ki woh naveed udaas hai 

Chalay bhi aayo ab kay eid par tum 
Kehtay hain dost keh meri guft-o-shuneed udaas hai 

Khiltay nahin dil kay aangan main phool 
Dil kay gulistaan ka khursheed udaas hai 

Aao eid pe mil kar muskuraain hum 
Teray janay se meri eid udaas hai

Eid kay din sab milain gay apnay apnay yaar se


Eid kay din sab milain gay apnay apnay yaar se
Hum galay mil mil kay roein gay dar-o-dewaar se

Khawab dekhye thay mil kar hum ne gulshan kay 
Aankh khuli to niklay na paaon regzaar se

Wahin pe giraye khizan ne murjhaye pattay 
Aas thi phool khilanay ki jahan ki 

Tu jo chor gaya mujhay to roothay rang mujh se 
Uth gaya Aetabaar bhi mera Aetabaar se

BE'wafai se bujh gaya mera dil ka chiragh 
Roshan huwa tha jo kabhi teray pyaar se

Teray bina kya eid kya eid ka chand 
Teray bina kya taaluq mera singhaar se

Khizaan chaai hai gulshan main gulon ki eid kya ho gi


Khizaan chaai hai gulshan main gulon ki eid kya ho gi 
Kisi nadaar kay bhookay bachon ki eid kya ho gi 

Kabhi jalta hai aangan main kabhi choolha nahin jalta 
Bataao to bhala un be'bason ki eid kya ho gi 

Woh khush hain jin kay apnay eid par mojood hain lakin 
Juda jin se huye apnay to un ki eid kya ho gi 

Nazar ab aa gaya hai chand phir bhi khush nahin hain woh 
Siwa mehboob kay un Aashiqon ki eid ki eid kya ho gi 

Abhi tak muntazir hain chooriyan mehndi bhi kajal bhi 
Nahin pehni gayi un payalon ki eid kya ho gi 

Chali aayo tumhari deed se to mir ki her eid hoti hai 
Siwa teray bhala hum gham'zadon ki eid kya ho gi

Koi us shakhs ko bas itna bata de


Koi us shakhs ko bas itna bata de 

Keh mera chaand meri eid usi se hai

Aankh nam kar gaya bichray huye logon ka khayal


Aankh nam kar gaya bichray huye logon ka khayal 

Woh dekho dard-e-dil de kar chali ja rahi hai eid

Suno jana baad tumharay eid aayi to


Suno jana 
Baad tumharay eid aayi to 
Aa kay dareechon se takraai 
Darwazay pe dastak bhi di 
Bill'aakhir mayoos gayi hai 
Woh kya janay 
Baad tumharay dil aur aankhein jeetay jee
Taboot main hum ne rakh chorri hain 
Honton pe likha sanaata 
Haathon ayr pairon se un ki 
saari shakist cheen li hum ne 
Eid agar aangan main hamaray 
Jhaank bhi leti to 
yeh sab dekh kar dar jana tha 
Us ne pal main mar jana tha

Yeh eid bhi aayi hai mujhay tanha paa kar yaaro


Yeh eid bhi aayi hai mujhay tanha paa kar yaaro 
Eid mubarak kehna ho ga sab ko aansoo chupa kar yaaro 

Aayi eid chala woh dil jala kar yaaro 
Kaisay ab yeh eid manaaon main muskuraa kar yaaro 

Din khushi kay bhi hoon tanha kitna main 
Ro para tanhai ko galay laga kar yaaro 

Kya guzri hai tanha yeh zindagi 
Ab kay eid pe hum zindagi se chalay rishta tor kar yaaro 

 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...