Apr 24, 2015

Bhool kar mujh ko woh jeenay ki wajah poochta hai


Bhool kar mujh ko woh jeenay ki wajah poochta hai 
Kaisay zinda hoon main ab tak yeh ada poochta hai

Roz meri rooh ko woh de jaata hai zakham naye 
Shouq us ka hai magar mujh se saza poochta hai 

Meray haathon ki lakeeron main jab basa hai woh 
Phir kiyon woh apni de kay qasam meri raza poochta hai 

Us ko yeh khouf keh kahin main ussay paa na loon 
Main jab bhi uthaon haathon ko woh meri dua poochta hai

Main shagufta lab-e-izhaar kahan se laaon


Main shagufta lab-e-izhaar kahan se laaon 
Ishq-o-romaan kay azkaar kahan se laaon

Qissa-e-talkhi-e-doran main suna sakta hoon 
Dastaan-e-lab-o-rukhsaar kahan se laaon 

Apnay ehsaas se main jhoot kahan tak bolon 
Shair main shokhi-e-afkaar kahan se laaon 

Main ghazal-go hoon , qaseeda to nahin keh sakta 
Kya karoon lehja-e-darbaar kahan se laaon 

Saut-o-alfaaz ki zarbat pe bharosa hai mujhay 
Main tahi dast hoon talwaar kahan se laaon 

Main to bik sakta hoon sirf aik tabasam kay iwaz 
Lakin ab aisay kharidaar kahan se laaon 

Gham zada log to mil saktay hain jitnay bhi chaho Mohsin 
Magar aaj kay dour main gham khawaar kahan se laaon

Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon main


Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon main 
Apnay kuch khawaab sajaye hain teri galiyon main 

Janay yeh ishq hai ya karamat apni 
Chand lay kar chalay aaye hain teri galiyon main 

Tazkara ho teri galiyon ka to dar jaata hoon 
Dil ne woh zakham uthaye hain teri galiyon main 

IS liye bhi hamein teri galiyon se nafrat hai 
Hum ne armaan ganwaye hain teri galiyon main 

Kiyon her cheez adhoori si hamein lagti hai 
Janay kya chor aaye hain teri galiyon main

Khuda janay kon si kasar reh gayi ussay chahnay main


Khuda janay kon si kasar reh gayi ussay chahnay main 

Keh woh jaan hi na payi keh meri jaan hai woh

Kal shab sab ko apna chand nazar aa gaya magar


Kal shab sab ko apna chand nazar aa gaya magar 

Hum ko hamaray chand ki hasrat abhi bhi hai

Phir se udaasi laa rahi hai teray shhaer main


Phir se udaasi laa rahi hai teray shhaer main 

Shab-e-Tanha sambhal jaa phir Eid aa rahi hai

Dekha hilaal-e-Eid to mehsoos yeh hua


Dekha hilaal-e-Eid to mehsoos yeh hua 

Lo aik saal aur judai main kat gaya

Gaye baras ki Eid ka din kya acha tha


Gaye baras ki Eid ka din kya acha tha 
Chand ko dekh kay uss ka chehra dekha tha 

Fiza main cactus kay lehjay ki narmahat thi 
Mousam apnay rang main Faiz ka misrah tha 

Dua kay be'awaz , ulohi lamhon main 
Woh lamha bhi kitna dil'kash lamha tha 

Haath utha kar jab aankhon hi aankhon main 
Uss ne mujh ko apnay rab se maanga tha

Phir meray chehray ko haathon main le kar 
Kitnay pyaar se mera maatha chooma tha 

Hawa ! Kuch aaj ki shab ka Ehwaal suna 
Kya woh apni chahat par aaj akela tha ?

Ya koi meray jaisi saath thi , aur uss ne
Chand ko dekh kay uss ka chehra dekha tha ?

Eid kay chand ko dekhye na koi meray siwa


Eid kay chand ko dekhye na koi meray siwa

Iss kay deedar ko ik saal guzara main ne

Tera intizaar hai pyasi aankhon ko barson se


Tera intizaar hai pyasi aankhon ko barson se 

Aa gayi Eid ab to Eid kay bahanay hi aa jaa
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...