Jun 24, 2015

Taghafil kay aaghosh main so rahay hain


Taghafil kay aaghosh main so rahay hain 

Tumharay sitam , aur meri wafaein

Ragon main jitna khoon hai


Ragon main jitna khoon hai 

Sab ishq hai junoon hai

Hum nikalein gay sun Ae moj-e-hawa , bal tera


Hum nikalein gay sun Ae moj-e-hawa , bal tera 

Us ki zulfon kay agar baal parishaan hon gay

Ab koi aaye , chala jaye , main khush rehta hoon


Ab koi aaye , chala jaye , main khush rehta hoon 

Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko

Teray faraib , teri meharbaniyon se alag


Teray faraib , teri meharbaniyon se alag 

Main aaj kal hoon sabhi khush-gumaniyon se alag

Mera maqaam ishq tha lakin ab farsh hai


Mera maqaam ishq tha lakin ab farsh hai 

Kitni bulandiyon se giraya gaya hoon main

Teray sofay hain afrangi , teray qaleen hain irani


Teray sofay hain afrangi , teray qaleen hain irani 
Lahu mujh ko rulaati hai jawano ki tan'asaani 

Amaraat kya , shikwa-e-khusrawi bhi ho to kya haasil
Na zor-e-haidari tujh main , na istaghna-e-sulemani 

Na dhoond is cheez ko tehzeeb-e-haazir ki tajali main 
Keh paya main ne istaghna main miraaj-e-musalmani

Uqaabi rooh jab baidaar hoti hai jawano main 
Nazar aati hai us ko apni manzil aasmano main 

Na ho no'umeed , no'umeedi zawaal-e-ilm-o-irfan hai 
Umeed-e-mard-e-moman hai Khuda kay raaz'daano main 

Nahin tera nashaiman qasar-e-sultani kay gumbad par 
Tu shaheen hai , basera kar paharon ki chitano main

 

Meri khamoshiyon ka sabab mujhay khud nahin maloom


Meri khamoshiyon ka sabab mujhay khud nahin maloom 

Na'janay kiyon log mujhay maghroor samjhtay hain

Ishq hai aur talb karta hai umron ka khiraaj


Ishq hai aur talb karta hai umron ka khiraaj 

Aik dastak se kahan , dar yeh miyaan khulta hai

Janay kis raah se aa jaye woh janay wala


Janay kis raah se aa jaye woh janay wala 

Hum ne her simt se deewar gira di ghar ki
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...