Jul 29, 2015

Justagoo khoye huwon ki umar bhar kartay rahay



Justagoo khoye huwon ki umar bhar kartay rahay 
Chand kay hum'rah hum her shab safar kartay rahay 

Raaston ka ilm tha hum ko na simton ki khabar 
Shaher-e-na'maloom ki chahat magar kartay rahay 

Hum ne khud se bhi chupaya aur saray shaher se
Teray janay ki khabar dewaar-o-dar kartay rahay 

Woh na aaye ga hamein maloom tha is shaam bhi 
Intizaar us ka magar kuch soch kar kartay rahay 

Aaj aaya hai hamein bhi un uraano ka khayal 
Jin ko teray zoham main be'baal-o-par kartay rahay

Chalay bhi Aao


Chalay bhi Aao

Chalay bhi Aao
Keh main to khud ko tumharay rangon main rang
Chuka hoon
Tumharay sanchon main dhal chuka hoon
Tumharay kehnay pe aa kay dekho
Main khud ko kitna badal chuka hoon

Khawab nagar hai aankhein kholay dekh raha hoon



Khawab nagar hai aankhein kholay dekh raha hoon 
Us ko apni jaanib aatay dekh raha hoon 

Kis ki Aahat qariya qariya phail rahi hai 
Dewaron kay rang badaltay dekh raha hoon 

Kon meray jaadu se bach kar jaa sakta hai 
Aaina hoon Sab kay chehray dekh raha hoon 

Darwaze par tez hawaon ka pehra hai 
Ghar kay andar chup kay saaye dekh raha hoon 

Jaisay mera chehra meray dushman ka ho 
Aainay main khud ko aisay dekh raha hoon 

Manzir manzir veerani ne jaal tany hain 
Gulshan sulshan bikhray pattay dekh raha hon

Manzil manzil hole main doobi awazein hain 
Rasta rasta khouf kay pehray dekh raha hoon 

Shaher-e-sang'dilan main "Amjad" her rastay par 
Awazon kay pathar chaltay dekh raha hoon

Bari hairat se arbaab-e-wafa ko dekhta hoon



Bari hairat se

Bari hairat se arbaab-e-wafa ko dekhta hoon 
Khatta ko dekhta hoon aur saza ko dekhta hoon 

Abhi kuch dair hai shayed meray mayoos honay main 
Abhi kuch din faraib-e-wafa reh'numa ko dekhta hoon 

Khuda maloom dil ko justagoo hai kin jazeeron ki 
NA janay kin sitaron ki Zia ko dekhta hoon 

YEh kya gham hai meray Ashaar ko nam kar diya jis ne 
YEh dil main kis samandar ki ghatta dekhta hoon 

Zameer ik qaid-e-na'mehsoos ko mehsoos karta hai 
Kisi na'deed'ni zanjeer-e-paa ko dekhta hoon 

Na woh khwaab hain na khayal hain koi zindagi ki sada nahin



Na woh khwaab hain na khayal hain koi zindagi ki sada nahin 
Kya sunaaon main tum ko daastan meray paas kuch bhi raha nahin 

KAbhi raaston se na'ashnaa main chala tha qurbatein dhoondnay 
Mujhay manzilon ne sikha diya kuch faaslon kay siwa nahin 

Kai rang thay jo bikhar gaye kuch log thay jo guzar gaye 
Woh dariya saray utar gaye ab un ruton ki fiza nahin 

Meray lab pe harf-e-gila nahin yeh naseeb-e-jaan kay hain silsalay 
Mujhay jo mila meri be'basi meri zindagi main wafa nahin 

Woh jo teray meray tha darmiyan ik khwaab tha keh saraab tha 
Jo suna woh tum ne kaha nahin jo kaha woh tum ne suna nahin 

Meri zindagi ki kitaab main baray hasraton kay hain tazkaray 
Mera hamsafar jo kahayl tha sar-e-warq us ko likha nahin 

Ab kya kahon keh woh kon tha koi saath tha meray paas tha 
Mujhay yaad hai woh zara zara woh kahan gaya yeh pata nahin

Khullay paaniyon main ghirri larkiyan



Khullay paaniyon main ghirri larkiyan 
Narm lejron kay cheentay uraati hui 
Baat be baat hansti hui 
Apnay khwabon kay shehzadon ka tazkara kar rahi thein
Jo khamosh thein 
Un ki aankhon main bhi muskurahat ki tehreer thi 
Door saahil pe baithi hui ik nanhi si bachi 
Hamari hansi aur mojon se be'khabar 
Rait se ik gharonda bananay main masroof thi 
Aur main sochti thi 
Khudaya ! yeh hum larkiyan kacchi umaron se hi kiyon 
Khwaab dekhna chahti hain , , , , !!!

Yaadon ko sambhalay rakhna


Yaadon ko sambhalay rakhna 

Ae chaand si pyaari larki
Meri yaadon ko tum zara 
Sambhalay rakhna 
Khud se juda na karna 
KEh her guzartay lamhay kay saath 
Meri yaadon ka samandar 
Apnay saahil se nikalnay kay liye 
Be'taab sa rehta hai
Suno ! meri yaadon ko 
Khud se juda mat karna

Akelay lawn kay goonjtay sanatay main


Akelay lawn kay goonjtay sanatay main 
Chandani ki mar mar'ein baarish main bheegti hui 
Ik tanha afsurda larki 
Apnay phailay huye haath ko takti hai 
Takti hai aur sochti hai 
Woh naam , , ,
Jo us kay liye raha zeest ka unwaan hai 
Shariyano main jo lahu ki jaga rawan hai 
Woh naam , , ,  ,
Jis ki chandani dasht-e-zaat pe ehsaan hai 
Jis ki asaaib ab bhi wehshaton ka samaan hai 
Woh naam , , , ,
In lakeeron main kahan hai ? !!

Aaj malboos main hai kaisi thakan ki khushboo


Aaj malboos main hai kaisi thakan ki khushboo
Raat bhar jaagi hui jaisay dulhan ki khushboo

Peh'rahan mera magar us kay badan ki khushboo
US ki tarteeb hai ik ik shikan ki khushboo

Qamat shair ki zaibaai ka aalam mat pooch 
Mehar'baan jab se hai us sard badan ki khushboo

Zikar shayed kisi khurasheed badan ka bhi karay 
Ku-ba-ku phaili hui meray gehan ki khushboo

Aariz-e-gul ko chua tha keh dhanak si bikhri 
Kis qadar shokh hai nanhi si kiran ki khushboo

Aik raat ujaalo meray liye


Aik raat ujaalo meray liye

Aik raat ujaalo meray liye
Main so jaaon , , , tum jaago
Ik shabnam haath rakho seenay par 
Lams jagay to lab mehkaao 
Saans main phool khilaao 
Hawa chalay to 
Palkon pe taaray barsaao 
Neend kay par phailay jayein 
Phir khawab samandar jaago
Aik raat ujaalo meray liye
Main so jaaon tum jaago 



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...