Feb 15, 2016

Hawa thami thi zaroor lakin



Hawa thami thi zaroor lakin

Woh shaam jaisay sisak rahi thi

Keh zard paton ko andhiyon ne ajab qissa suna diya tha

Keh jis ko sun ke tamam patay sisak rahay thay

Bilak rahay thay

Janay kis sanhay ke gham main

Shajar jaraon se ukhar rahay thay

Bhout talasha tha hum ne tum ko

Her aik rasta her aik wadi

Her aik parbat her aik ghati

Kahin se teri khabar na aye

To yeh keh kar hum ne dil ko tala

Hawa thamay ge to dekh lain ge

Hum us ke raston ko dhoond lain ge

Magar hamarai yeh kush khyali

Jo hum ko barbaad kar gaye

Hawa thami thi zaroor lakin

Bari hi mudat guzar chuki thi

Hamaray balon ke junglon main safaid chandi utar chuki thi

Aisay bhi mohabbat ki saza dati hai duniya



Aisay bhi mohabbat ki saza dati hai duniya
Mar jayien to jeenay ki dua dati hai duniya

Hum kon se Moman thay jo ilzam na sehtay
Pather ko bhagwaan bana dati hai duniya

Yeh zakham mohabbat ka hai dekhana na kisi ko
La kar sar-bazar saja dati hai duniya

Qismat pe karo naaz na itna bhe faqeero
Hathon ki lakeeron ko mita dati hai duniya

Marney kay liye karti to hai yeh majboor lakin
Jeenay kay tareeqay bhe sikha dati hai duniya


Khud ko chuntay huay sara din guzar jata hai faraz

Khud ko chuntay huay sara din guzar jata hai faraz

Phir hawa shaam ki chalti hai to bikhar jata hoon main

Dil ke lut jaaney ka izhaar zaroori to nahin

Dil ke lut jaaney ka izhaar zaroori to nahin
Yeh tamasha sar-e-ebazar zaroori to nahin

Mujhay tha ishq teri rooh se aur ab bhe hai
Jisam se ho koi saro kaar zaroori to nahin

MAin tumhain toot ke chahun to meri fitrat hai
Tu bhe ho mera talabgaar zaroori to nahin

Ae sitam gar zara jhank meri Aankhon main
Zubaan se piyaar ka izhaar zaroori to nahin

Kaha tha na Keh youn sotay huaye chor ke mat jana

Kaha tha na Keh youn sotay huaye chor ke mat jana
Mujhay be-shak jaga dena bata dena
Tumhain rasta badalna hai
Meri had se nikalna hai
Tumhain kis baat ka dar tha
Keh main janey nahin doon ga
Kahin pe qaid kar loon ga
Aray pagli ! mohabbat ki tabiyat main 
Zabardasti nahin hoti
Jissay rasta badalna ho
Ussay rasta badalney se
Jissay had se nikalna ho
Ussay had se nikalney se
na koi roak paya hai
Na koi roak paye ga
Magar aik baat keh doon
Tumhain khoney de darta hoon
Main ab soney se darta hoon

Ik shaks mujhay youn chahaney laga

Ik shaks mujhay youn chahaney laga
Apni zaat ko bhe woh bhulaney laga
Na janey kiya hai mujh main jo bha gaya ussay
Apni rooh main mujhay woh basaney laga
Meri doori ko seh na pata tha woh
Raat to raat the
din bhe ussay sataney laga
Kahin Bichar na jayon
Main us se akbhi
Bas yahi dar ussay rulaney laga
Tumhain pata hai
Tum he mera sab kuch ho
Ro Ro ke yeh baat mujhay bataney laga
Main us ki chahat ko bhala kiya naam doon
Jo Apni jaan bhe mujh pe lutaney laga

Barishon main bheeg kar woh aksar kaha karte the



Barishon main bheeg kar 
Woh aksar kaha karte the
Mujhay 2 cheezain bhout piyari lagti hain
Ik barish aur ik tum
Barish mujhay is liye piyari lagi hai
Kyn keh barish tumhare yaad le kar ati hai
Tum mujhay is liye piyare lagtay ho
Kyn keh tumhare yadain
Barish ko aur bhe piyara bana dati hain
Aaj barish main akelay bheeg kar
Janey kyn mera dil
Mujh se keh raha tha
Keh main barish ki her aik boond se poochon
Kiya usaay barishain aj bhe piyare lagti hain

Mohabbat karney walay aj

Dilon ki qaid se Azaad Mohabbat

Mohabbat karney walay aj

Izhar-e-mohabbat kar rahay hain par

Tumharay hath main jo phool hain

Is ko mohabbat kay saheefay main kahin rakh do

Keh Izhaar-e-mohabbat kay liye lamhay muqarar to nahin hotay

Moahabbat to dilon ki qaid se azaad hoti hai

Mohabbat main riwaiyat phool daney ki

Bhout he khoobsurat hai

Magar tum Aaj mujh ko phool mat dena

Taqazay meri chahat ke siwa hain kuch

Keh meray piyaar ki rasmain zamaney se juda hain kuch

Zara sa maan rakh lena Meri pehli mohabbat hai


Zara sa maan rakh lena Meri pehli mohabbat hai
Sitam tum soch ke karna meri pehli Mohabbat hai
Agar janey ki zid hai to chalay jayo Magar sun lo
Keh jaldi loat ke ana meri pehli mohabbat hai
Jiger ke khoon se likh kar tujhay paigham bheja hai
Tum aik aik lafz ko parhna, meri pehli mohabbat hai
Main mit jayon ga duniya se Mujhay dil se mat mitana
sada dil main mujhay rakhna meri pehli mohabbat hai

Baat the mohabbat ki , umar bhar ki chaht ki

Baat the mohabbat ki 
Umar bhar ki chahat ki 
Bheer main zamaney ke sath sath bhe chalna tha
Imtihaan bhe aney thay
Zindage ke sabhi pal sath he bitaney thay
Janey tum ne kiya socha
Bas aik pal main baat khatam kar dali
Jo poori the Adhoori kar dali
Kon tum ko samjhay
Mohabbat ke mousam bh eto roz nahin atay
Zindage main apno ko youn chor to nahin jatay
tum ko kiya khabar janaa
Khwaab ki haqeeqat ki baat the
Mohabbat ki umar bhar ki chahat ki
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...