Apr 12, 2016

Tumharay khawab meray saath saath chaltay hain


Tumharay khawab meray saath saath chaltay hain 
Kai saraab meray saath saath chaltay hain 

Tumhara gham ' gham-e-duniya ' aloom-e-aagahi 
Sabhi azaab meray saath saath chaltay hain 

Isi liye to main ariyano main se hoon mehfooz 
Bhout hijaab meray saath saath chaltay hain 

Na'janay kon hain yeh log jo keh sadiyon se 
Pas-e-niqaab meray saath saath chaltay hain 

Main be'khayal kabhi dhoop main nikal aayon 
To kuch sahaab meray saath saath chaltay hain


Hum'safar Aa rah kay kantay chunain


Gham kay biyabaan main aa

Hum'safar 
Aa rah kay kantay chunain 
Gar isi main kuch safar teh ho gaya to 
Ik ghaneemat jaan lain gay 
Maan lain gay kuch safar teh ho gaya hai 
Warna in raahon main to ik khaar ki talwaar bhi 
Kuch kam nahin hai 
Aik manzil paraao un'ginat 
Aik paraao , aur hazaron manzilein 
Rang ' khushbu ' chaaon ' yakh'basta shajar ka 
Aur sakoon ka kiyon koi dhoka sahein , sapnay bunein 
La'shaoor be'qarari
Jism kay ghaao se bad'tar hai 
Kabhi to aa 
Khuli dewangi se 
Doosron kay saath apni bhi sabhi cheekhein suni 
Hum'safar 
Aa rah kay kantay chunain


 

Tu kiyon meray dil kay saharay ronay baith gaya hai


Chaand utra hai aankh kinaray 


Tu kiyon meray dil kay saharay 
Ronay baith gaya hai 
Chaand utra hai aankh kinaray 
Ronay baith gaya hai 
Aik ik kar kay giray sitaray 
Daman bheeg gaya hai 
Andar andar aansoo tapkay 
Aur mann bheeg agya hai 
Dil janay kis dard kay maaray 
Ronay baith gaya hai 

Raat dhali to aakhir ik ik 
Tara doob gaya hai 
Beech samandar aik ajeeb 
Kinara doob gaya hai 
Aik prinda gham kay dharay 
Ronay baith gaya hai

Mujhay aanso'on main kisi kay sukh ki talash hai


Mujhay aanso'on main kisi kay sukh ki talash hai 
Jo meray gham kay samandron ka gharoor ho

Hai ajeeb surat-e-haal weham-o-gumaan-e-dil 
Kabhi dharkano kay sakoot main kabhi shor main 

Rahay airon ghairon kay haath main teray jism-o-jaan 
Yeh jo chahye janay ka shouq hai yeh ajeeb hai

Gham-e-dil ne aankhon main jaal rakhay hain kis liye 
Yahan aanso'on ka koi prinda nahin raha 

Yeh jo reza reza batti hui hain tabiyatein 
Kisi roz rait main jhonk dain gi hajoom ko

Jo us kay chehray pe rang-e-haya thehar jaye


Jo us kay chehray pe rang-e-haya thehar jaye
To saans , waqat , samandar , hawa thehar jaye

Woh muskura'iye to hans hans parein kai mousam 
Woh gun'gunaye to baad-e-saba thehar jaye

Subak kharaam saba chaal chal paray jab bhi 
Hazar phool sar-e-raah aa thehar jaye

Woh hont honton pe rakh de agar dam aakhir 
Mujhay guman hai keh aayi qaza thehar jaye

Main us ki aankhon main jhankon to jaisay jam jaon 
Woh aankh jhapkay to chahon zara thehar jaye
 

Zaaiya kartay thay mulaqaton ko


Zaaiya kartay thay mulaqaton ko 
Hum samajhtay hi na thay baaton ko 

Un ko aadat hai meri aankhon ki 
Kon samjhaye ga barsaton ko 

Kitnay masoom hain woh log keh jo 
Kuch samjhtay hi nahin raaton ko 

Woh mujhay daam main lenay kay liye 
Kaam main laya madaraton ko 

Hum kahan maantay hain zaaton ko 
Paas rakho sabhi sadaton ko 

Aasteno pe tawaja de kar 
Taar leta hoon kai ghaaton ko

Mujhay khud se mohabbat hai mohabbat bhi kuch aisi


Mohabbat bhi kuch aisi

Mujhay khud se mohabbat hai 
Mohabbat bhi kuch aisi 
Jo kisi sehraa ko baarish se 
Keh baarish jis qadar bhi toot kar barsay 
Zara pal bhar ko payasi rait kay lab bheegay jatay hain 
Magar bas ik zara pal bhar 
Mujhay khud se mohabbat hai 
Mohabbat bhi kuch aisi 
Jo prindon ko fizaon se gulon ko khushbu'on se 
Manzaron ko leh'lehatay mousamon se
Jis main choonay , jazab rakhnay aur galay mil kay hamesha muskuranay kay 
liye chahaton aur khwaishon ji sab hadon ko paar kar jaye 
Mujhay khud se mohabbat hai magar 
Itni jitni meray so'daai ko mujh se 
Woh apnay raat aur din , dhoop , chaaon , sahilon , dariya kinaron ko 
Faqat ik meray nuqtay main samaitay 
Aur meri chahaton main 
Aankh se dil ' rooh se juda un ki her kaifiyat main doobta , roota , ubharta 
Muskurata , zaat aur marooz kay saray hawalon se kabhi ka kat chuka hai 
Aur mujhay us se mohabbat hai 
Mohabbat bhi kuch aisi .......jo kisi sehraa ko baarish se

Dilon pe jabar ki tamaam hikmatein ulat gayein


Dilon pe jabar ki tamaam hikmatein ulat gayein 
Judaiyon main aur bhi rafaqatein simat gayein 

Teray diyaar-e-yaad se guzar raha tha qaafla
Kahin to din palat gaye kahin shabein palat gayein 

Main jis kay mohaaz pe safein badal badal gaya 
Meray muqablay main teri aarzu'ein dat gayein 

Judaiyon se daman-e-khayal to chura liya 
Magar kai udasiyan naseeb se chimat gayein 

Ajeeb waqiya hai aik din sakoot-e-shaher se 
Qalam bachaa rahay thay hum keh ungliyan bhi kat gayein

Un'ginat be'hisaab aan basay aankh ujri to khawab aan basay


Un'ginat be'hisaab aan basay 
Aankh ujri to khawab aan basay 

Dil ajab shaher hai mohabbat ka 
Her gali main saraab aan basay 

Us se acha tha tum hi reh jatay 
Tum gaye aur azaab aan basay 

Teray aanay ki rut se pehlay hi 
Kiariyon main gulab aan basay 

Aankh main aa kay bas gaye aansoo 
Aanso'on main sahaab aan basay

Kon kahan se lay aaye apnay jaisa dil logo


Kon kahan se lay aaye 
Apnay jaisa dil logo 

Ranj-o-gham ka aadi hai 
Khushiyon se kab behlay ga 

Us ki aankhon se pehlay 
Aik samandar aata hai 

Meray dil se pehlay bhi 
Kitnay sehraa aatay hain 

Aik samandar woh hai jo 
Aasman par rehta hai 

Ik sehraa aisa bhi hai 
Jo pani main hota hai 

Main woh badal hoon shayed 
Jo sehraa se uth'at hai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...