Apr 26, 2016

Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main


" Janay kitnay saal lagein gay "

Lafaz ko samjhnay main 
Khawaish bhulanay main 
Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main 
Sahil-e-samandar par pyasi man kharri hoon main 
Aur bikharti jaa rahi hai rait meray haath se
Dil ko samjhanay main 
Khud ko behlanay main 
Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main 
Paniyon par rastay to pal main toot jatay hain 
Par dil ki chahatein , chahatein hi rehti hain 
Gehray zakham bharnay main 
Mujh ko phir sambhalnay main 
Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main  
Chahaton ki manzil jab door hoti jati hai 
Faaslay mitanay main umar beet jati hai 
Dard ki samaitnay main 
Khawab ko mitanay main 
Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main

Us ko kya khabar Aansu'on ki larzish ki


" Toot'ta rishta "

Us ko kya khabar !
Aansu'on ki larzish ki 
Chahaton ki bandish ki 
Daastan adhoori hai

Us ki aankhon main mohabbat ka sitara ho ga


Us ki aankhon main mohabbat ka sitara ho ga 
Aik din aaye ga woh shakhs hamara ho ga

Tum jahan meray liye seepiyan chunti ho gi 
Woh kisi aur hi duniya ka kinara ho ga 

Zindagi ! ab kay mera naam na shamil karna 
Gar yeh teh hai keh yahi khel dobara ho ga 

Jis kay honay se meri saans chala karti thi 
Kis tarah us kay baghair apna guzara ho ga 

Yeh achanak jo ujaala sa hua jaata hai 
Dil ne chupkay se tera naam pukara ho ga 

Ishq karna hai to din raat ussay sochna hai 
aur kuch zehan main aaya to khasara ho ga 

Yeh jo pani main chala aaya sunehri sa gharoor 
Us ne dariya main kahin paon utara ho ga 

Kon rota hai yahan raat kay sanaton main 
Meray jaisa hi koi hijar ka mara ho ga 

Mujh ko maloom hai joun hi main qadam rakhon ga 
Zindagi tera koi aur kinara ho ga 

Jo meri rooh main badal se garajtay hain Wasi 
Us ne seenay main koi dard utaara ho ga 

Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko 
Meray Mola ka Wasi joun hi ishara ho ga

Hosh walon ko khabar kya be'khudi kya cheez hai


Hosh walon ko khabar kya be'khudi kya cheez hai 
Ishq keejiye phir samjhiye zindagi kya cheez hai 

Un se nazrein kya milein roshan fizaein ho gayein 
Aaj jana pyar ki jadu'gari kya cheez hai 

Khulti zulfon se sikhaai  mousamon ki shairy 
Jhukti aankhon ne bataya may'kashi kya cheez hai 

Hum labon se keh na paye un se haal-e-dil kabhi 
Aur woh samjhay nahin khamoshi kya cheez hai 

Apni batein kab dariya se kehti hai


Apni batein kab dariya se kehti hai 
Woh nadiya jo sehra sehra behti hai 

Kya kuch dab jata hai us kay malbay main 
Woh dewaar jo dil kay andar dehti hai 

Raat se pehlay raat ki batein karta hai 
Meray din ko kitni ujlat rehti hai 

Reh jaye gar shaakh phoolon se khaali to 
Her mousam kay tahnay tanha sehti hai 

Ghazlein kehna main ne bhi ab chor diya
Aur woh bhi ab paar samandar rehti hai 

Mohabbat ki aseeri se rihaai maangtay rehna


Mohabbat ki aseeri se rihaai maangtay rehna 
Bhout asaan nahin hota judai maangtay rehna  

Zara sa ishq kar lena , zara si aankh bhar lena 
Iwaz is kay magar sari khudai maangtay rehna 

Kabhi mehroom honton par dua ka harf rakh dena 
Kabhi wehshat main us ki na'risaai maangtay rehna 

Wafaon kay tasalsul se mohabbat rooth jati hai 
Kahani main zara si be'wafai maangtay rehna 

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi keh aadat ho gayi dil ki 
Sakoot-e-sham-e-gham se hum'nawai maangtay rehna 

Kabhi bachay ka nanhay haath par titli kay par rakhna 
Kabhi phir us kay rangon se rihaai maangtay rehna 

Kissay khabar thi keh dil ka yeh haal hona tha


Kissay khabar thi keh dil ka yeh haal hona tha 
Tumhein ganwaa kay hamein bhi malaal hona tha 

Hamaray wastay rasta koi bacha kab hai 
Wahin thay zakham wahin ind'maal hona tha 

Main tera naam likhon khushbuein si jal uthein 
Yeh mohjaza bhi meray khush jamaal hona tha 

Yeh woh badan keh jissay tazgi muqaddar thi 
Kissay khabar thi keh youn pai'maal hona tha 

Kabhi gulaab se mehakein kabhi chragh jalein 
Sukhan kay baab main  yeh bhi kamaal hona tha 

Kamaal-e-sada dili hai keh bad'gumani hai 
Tumharay lab pe bhi koi sawal hona tha 

Hawa-e-shaher ne rakha bhout udaas magar 
Mera yaqeen-e-mohabbat ba'haal hona tha

Musalsal rokti hoon us ko shaher-e-dil main aanay se


Musalsal rokti hoon us ko shaher-e-dil main aanay se
Magar woh koh'kan rukta nahin dewaar dhanay se

Bhala kya dukh kay aangan main sulagti larkiyan janein 
Kahin chuptay hain aansu aanchalon main munh chupanay se

Abhi to fasal taza hai hamaray harf-o-mahni ki 
Abhi dartay nahin hum mousamon kay aanay janay se

Abhi to ishq main aankhein bichi hain , dil salamat hai 
Zameenein banjh hoti hain kabhi faslein jalanay se 

Tujhay tanha mohabbat ka yeh dariya paar karna hai 
Nadamat ho gi us kay hoslon ko azmanay se

Hamein kis zarf kay kirdaar kay qissay sunata hai 
Tujhay Ae shaher hum bhi jantay hain ik zamanay se

Tujhay bhi zabat-e-gham kay shouq ne pathar bana dala
Tujhay Ae dil bhout roka tha rasm-o-rah nibhanay se

Chasham-e-baidaar main aa saktay thay


Chasham-e-baidaar main aa saktay thay 
Gul to gulzar main aa saktay thay 

Biknay walon main nahin thay warna 
Roz bazar main aa saktay thay 

Hum bhi gar teri tarah kay hotay 
Hum bhi darbaar main aa saktay thay 

Kha gayi hai jo sukhan khamoshi 
Kunj-e-izhaar main aa saktay thay 

Teegh-e-aabru ki khata thi sari
Husan kay waar main aa saktay thay

Aaina-e-ehsaas ko maila nahin kartay


Aaina-e-ehsaas ko maila nahin kartay 
Her baat pe her shakhs se uljha nahin kartay 

Paigham mila hai hamein khushbu ki zubani 
Chalnay ka irada ho to thehra nahin kartay 

Her dard-e-judai ki nu'maish nahin hoti 
Her zakham-e-tamana ka tamasha nahin kartay 

Haq baat sar-e-daar kahay apna qabeela 
Ho mout muqabal bhi to socha nahin kartay 

Hairat to kahin gum hai pas-e-chasham-e-tamasha 
" Zaahie ka yeh parda hai keh parwah nahin kartay "

Be'wajha thehrtay nahin rastay main kahin par 
Be'naam musafat ki tamana nahin kartay 

Ik pal main wajood un ka zameen bos ho Mola 
Jo pairr ghannay ho kay bhi saya nahin kartay 

Milnay ka khayal us ko kabhi aaye bhi kaisay 
Rukh-e-jaanib-e-sehra kabhi dariya nahin kartay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...