Feb 24, 2014

honton pe kabhi un kay mera naam hi aaye


honton pe kabhi un kay mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzam hi aaye


hairan hain labbasta hain, dilgeer hain ghunchay
khushbu ki zubani tera paigham hi aaye


lamhat-e-masarrat hain tasawur se gurezan
yaad aaye hain jab bhi gham-o-alam hi aaye


taaron se saja len ge rah-e-shahar-e-tamanna
maqadur nahi subho chalo sham hi aaye


yaadon ke, wafaon ke, aqeedon ke, ghamon ke
kam aaye jo duniya mein to is naam hi aaye


kya rah badalne ka gila hamsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-bam hi aaye


thak har ke baithe hain sar-e-ku-e-tamanna
kam aaye to phir jazba-e-nakam hi aaye


baqi na rahe sakh “ada” dasht-e-junun ke
dil mein agar andesha-e-anjam hi aaye

Poet: ada jaferi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...