Feb 24, 2014

kisi ki aankh jo purnam nahi hai.


kisi ki aankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gham nahi hai


sawad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai


samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai


sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai


ye basti hai sitam parvar digan ki
yahan koi kisi se kam nahi hai


kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai


dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai


main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai


jo koi sun sake Amjad to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gham nahi hai

Poet: Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...