Insha ji
utho ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya
wehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein thikana kya
Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi
jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya
Shab beeti, chaand bhi doob gaya, zanjeer pari darvaze mein
kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya
Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chu na sakein
jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo khazana kya
Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban
yoon aansu ban beh jana kya, yoon mati mein mil jana kya
Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare
divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya
Poet: (ibn-e-insha)

No comments:
Post a Comment