Feb 24, 2014

kal chudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera


kal chudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera

hum bhi wahin maujood thay hum se bhi poocha gaya
hum hans diye hum chup rahay manzoor tha parda tera

is sheher main kis se milain hum se to chhootin mehfilain
har shakhs tera naam le har shakhs deewana tera

tu bawafa tu meherban hum aur tujh se badguman
hum ne to poocha tha zara ye wasf kiun thehra tera

koochay ko chor kar teray jogi hi ban jayen gay magar
jungle teray parbat teray basti teri sehra tera

hum per ye sakhti ki nazar hum hain faqeer rahguzar
raasta kabhi roka tera daaman kabhi thaama tera

haan haan teri soorat haseen lakin tu aisa bhi nahi
is shakhs k ashaar se shuhra hoa kiya kiya tera

bedard sunni ho to chal kehta hai kiya achi ghazal
aashiq tera ruswa tera shair tera Insha tera

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...