Feb 24, 2014

jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla


jab bahar aai to sehra ki taraf chal nikla  
 sehan-e-gul chod gaya dil mera pagal nikla
 
jab use dhoondne nikle to nishaan tak na mila
dil mein maujood raha aankh se oojhal nikla

ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi
hum jise umar samjhate the woh ik pal nikla

woh jo afsana-e-gam sun ke hansa karte the
itna roye hain k sab aankh ka kajal nikla

hum sakoon dhoondne nikle the pareshaan rahe
shahar to shahar hai jungle bhi na jungle nikla

kon “Ayub” pareshaan nahi tareeki mein
chand aaftaab pe dil seene mein bekal nikla

poet: Ayub Romani

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...