Feb 24, 2014

Yeh aalam shauq ka dekha na jaye






Yeh aalam shauq ka dekha na jaye
wo butt hai ya khuda dekha na jaye

yeh kin nazroon say tu nay aaj dekha
keh tera dekhna dekha na jaye

hamesha kay liye mujh say bichar ja
yeh manzar baar'ha dekha na jaye

ghalat hai suna par aazma kar
tujhe ay be-wafa dekha na jaye

ye mehroomi nahin paas-e-wafa hai
koi aur tare siwa dekha na jaye

yehi to aashna bantay hain aakhir
koi na aashna dekha na jaye

faraz apne siwa hai kon tera
tujhay tujh se juda dekha na jaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...