koi tum se poochay kon hon main
tum keh dena koi khaas nahin
ek dost hai kacha pakka sa
ek jhoot hai adha sacha sa
jazbaat ko dhankay ek parda bas
ek bahana hai acha sa
jeevan ka ek aisa sathi hai
jo door ho keh pass nahin
koi tum se poochay kon hoon main
tum keh dena koi khaas nahin
hawa ka ik suhana jhona hai
kabhi nazuk to kabhi toofano sa
shakal dekh kar jo nazrein jhuka le
kabhi apna to kabhi begano sa
zindagi ka ik hamsafar
jo samandar hai par dil ko piyaas nahin
koi tum se poochay kon hoon main
tum kehdena koi khaas nahin
ek sathi jo ankahi batain keh jata hai
yadon main jis ka ek dhundla chahera reh jata hai
yeh to us ke na honey ka kuch gham nahin
par kabhi kabhi ankhon se ansoo ban kar beh jata hai
youn rehta to meri tasveer main hai
par in aankhon ko uski talaash nahin
koi tum se poochay kon hon main
tum keh dena koi khaas nahin
No comments:
Post a Comment