woh kehti hai suno janaa
mohabbat mom ka ghar hai
tapish bad'gumani ki
kahin pighla na de is ko
main kehta hoon
jis dil main zara bhi bad'gumani ho
wahan kuch aur ho to
mohabbat ho nahin skti
woh kehti hai
sada aisay hi
kiya tum mujh ko chayo ge
keh main is main kami ko bhi
gawara kar nahin sakti
main kehta hoon
mohabbat kiya hai
yeh tum ne sikhya hai
mujhay tum se mohabbat key siwa
kuch bhi nahin ata
woh kehti hai
judaai se bhout darta hai dil mera
keh khud ko tum se hat kar dekhna
mumkin nahin hai ab
main kehta hoon
yahi khadshay bhout mujh ko satatay hain
magar sach hai mohabbat main
judai sath chalti hai
woh kehti hai
batayo kiya mere bin jee sako ge tum
meri batain , meri yadein , meri aankhain
bhula do ge
main kehta hoon
kabhi is baat par socha nahin main ne
agar ik pal ko bhi sochon to
saansein rukney lagti hain
woh kehti hai
tumhain mujh se
mohabbat is qadar kyun hai
keh main ik aam si larki
tumhain kyn khaas lagti hoon
main kehta hoon
kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho
meri deewani kyn hain
yeh khud hi jaan jayo gi
woh kehti hai
mujhay waraftagi se dekhtay kyn ho
keh main khud ko bhout
qeemti mehsoos karti hoon
main kehta hoon
mata-e-jaan bhout anmol hoti hai
tumhain jab dekhta hoon zindagi
mehsoos karta hoon
woh kehti hai
mujhay alfaz ke jugno nahin milty
keh tumhain bata sakon
keh dil main meray
kitni mohabbat hai
main kehta hoon
mohabbat to nighahon se jhalakti hai
tumhari khamoshi mujh se
tumhari baat karti hai
woh kehti hai
batayo na kis ko khoney se dartay ho
batayo kon hai woh jissy
yeh mausam bulatay hain
main kehta hoon
yeh meri shairy hai aaina hai dil ka
zara dekho batayo kiya
tumhain is main nazar aya
woh kehti hai
suno !! bhout batain banatay ho
magar sach hai yeh batain
bhout hi shaad rakhti hain
main kehta hoon
yeh sab batain yeh fasanay ik bahana hain
keh pal kuch zindagi ke
tumharay sath kat jayein
phir us ke baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nighaein bolti hain
lab khamosh rehtay hain
No comments:
Post a Comment