Mar 4, 2014

Ab to jazbaat pe ik baraf jami ho jaisay



Ab to jazbaat pe ik baraf jami ho jaisay
Phir kisi zakham ki is dil main kami ho jaisay


Youn saraboon pe haqeqat ka gumaa hota hai
Teri banhon main koi shaam dhali ho jaisay


Kat na saka mujh se sadiyon main safar lamhon ka
Ik nuqtay pe zameen ghoom rahe ho jaisay


Dekh dewana pan mujhay kis simt le jata hai
Goya jannat na ho ! Dilbar ki gali ho jaisay


Shor kaisa hai khamosh hawaon main Mohsin
Teri awaz mujhay dhoond rahe ho jaisay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...