Mar 4, 2014

kab tak koi uljhe hui zulfoon ko sanwaray




Is shaher-e-Khrabi main Gham-e-ishq ke maray 
Zinda hain yahi baat Bari Baat hai piyaaray

Yeh hansta hua chaand Yeh pur noor sitaray
Tabinda-o-painda hain zaroon kay saharay

Hasrat hai koi guncha humain bhe piyaar se dekhay
Armaan hai koi phool humain bhe dil se pukaray

Her subha meri subha pe roti rahe shabnam
Her raar meri raat pe hanstay rahay sitaray

Kuch aur bhe hain kaam hamain Ae gham-e-janaa
kab tak koi uljhe hui zulfoon ko sanwaray

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...