Mar 12, 2014

Ab youn dil-e-nadaan bhi to gham-khwar ko sochay


 Ab youn dil-e-nadaan bhi to gham-khwar ko sochay
jaisay koi muflis kisi bazar ki sochay

Her raat woh lut jaye magar phir bhi sar-shaam
Bazaar saja le to talab-gaar ki sochay

Mushkil main ussay daal diya hum ne bhi ab ke
Iqrar ki sochay  kabhi inkaar ki sochay

Her shaks taman'nayon ki ik nayo liye hai
Halaat ka dariya hai keh raftaar ki sochay

Ab kash-mukash zehan ka aalam bhi ajab hai
Aina jo mil jaye to dewaar ko sochay

Hum sar ko hathali pe liye baithay hain kan se
Sar jis ka salamat ho woh dastaar ki sochay

Poet : Haleem Qureshi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...