Mar 12, 2014

Meray kalar se teri Ankh ka kajal na gaya

Meray kalar se teri Ankh ka kajal na gaya
Tu bhout door gaya bhi, par mukamal na gaya

Umar to khurdaray kapron ki chubhan main guzri
Dil se lipta magar ik lamas ka makhmal na gaya

door hi door se ankhain to bhout marta tha
Main ne jis simat ko chaha wahan badal na gaya

koray soney ki tarah khud ko bana;na chaha
Khot nikla hi nahin, tankay ka peetal na gaya

Itar main bheegay huaye log bhout se qayoom
Meri sansoon se teri saans ka sandal na gaya

Poet : Qayoom Tahir

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...