Ashak-e-rawan ki nehar hai aur hum hain dosto
Is be-wafa ka shaher hai aur hum hain dosto
Yeh ajnabi se manzalain aur rafta'gaan ki yaad
Tanha'yon ka zehar hai aur humhain dosto
Lai hai ab ura ke gaye mousamon ki baas
Barkha ki rut ka qahar hai aur hum hain dosto
Dil ko hajoom nikhat mae se lahoo kiye
Raton ka pechla pehar hai aur hum hain dosto
Phirtay hain misal moj-e-hawa shaher shaher main
Awargi ki lehar hai aur hum hain dosto
Ankhon main ura rahi hai luti mehfalon ki dhool
Ibrat saray-e-dehar hai aur hum hain dosto
Poet : Munir Niazi
No comments:
Post a Comment