Feb 15, 2016

Bol Keh Lab Azaad Hain Teray


  • Mohabbat na milay to insaan jee leta hai , lakin jissay woh mohabbat
          samjhta hai agar wohi shaks aap ka maan na rakhy to insaan aisay
          toot'ta hai keh phir  raizay nahin miltay

  • Mohabbat aisa jazba hai jo insaan ko be-bas kar deta hai .mohabbat insaan 
           ko jakar'ti hai keh woh jitna hath paon marta hai , mohabbat ki daldal main
           dhans'ta chala jata hai

  • Kuch ta'luq ana se toot jatay hain lakin kuch rishton ko qayam rakhney kay liye 
          ana ki zaroorat hoti hai

  • Umeed aik aisi chayon hai jo apney daman main insaan ko panah de kar mayoosi
           ke atha samandar main doobney se bacha'ti hai

  • Takleef'ain insaan ko sochney par majboor karti hain , sochney se admi dana
           banta hai aur da'nayi admi ko jeenay ke qabil banati hai

  • Mohabbat pana her kisi kay liye mumkin nahin........la-hasil mohabbat aur
          dewangee main kuch khaas farq nahin hota 2no hi junoon ki had'on tak
          le jati hain

  • 3 cheezain aik jaga parwarish pati hain ,phool ,kanta, kushboo

  • Jo insaan bhout hasaas hotay hain zindagi ki basaat par woh qadam 
          qadam par toot jatey hain

  • Jo insaan jukta nahin woh toot jata hai

  • Kitni ajeeb se baat hai keh jo kushiyaan hum sirf apney liya hasil kartay
          hain un se bila-akhir ukta jatay hain

  • Ansoo qarb ka saboot hain jab rooh ka rooh se wasaal hota hai to aankhon main 
          ansoo a jatay hain 

  • apney andar rog mat pali'ye , is duniya main aap aik hi to hain

  • Khwaab zindagi ki daleel hain , inhain kabhi harney mat dain

  • Haar jana azeat'naak sahi magar is se ziada azeat'naak khud ko her waqat
          haar ki yaad dilana hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...