Feb 15, 2016

Khoobsurat Bataien


  • Mayoosi aik dal dal hai aap is main pehla qadam rakhtay hain ,doosra qadam
          aap ko nahin rakhna parta, kyn keh dal dal ko hamesha pehlay qadam
          ka intizaar hota hai

  • Agar zindagi main sakoon chah'ty ho to kabhi kisi se tawaqo mat rakho
          kyn keh tawaqo ka piyala hamesha thokron ki zad main rehta hai

  • Hamain bhool janay ka ehsaas is waqat hota hai jab hamain koi bhool
           jata hai

  • Bah'az rishtay aisay hotay hain jinhain dekh kar 'dhoop barsati chy'on'
          ka gumaan hota hai

  • Ahmi'yat dukh ki nahin dukh daney wali ki hoti hai

  • Mohabbat aur nafrat agar had se barh jayein to junoon ki had main
          dakhil ho jatay hain aur junoon kisi bhi cheez ka acha nahin hota

  • Samjh ka ta'aluq umar se nahin , ehsaas se hai

  • Bahaduri ka pata din ki roshni se ziada raat ki tareeki main chalta hai

  • Jab ap aney walay ki awaz nahin suntay ya na sun'na'na  cha'yen tab yeh
          umeed bekaar hai keh janey wala ap ki awaz sun kar paltay ga

  • Yeh ajeeb baat hai keh woh log jo hamaray bhout qareeb hotay hain
           wohi log dar'asal hamari zindg'yon  ko uljha denay aur muntashir
           kar denay ka sabab bantay hain

  • Dil'chaspi ko talab mat ban'na'ny do kyn keh talab barh kar
          zaroorat aur zaroorat barh kar kamzori ban jati hai

  • Jitna kisi ka sath purana ho utna hi us ki be-wafai kay liye tayaar 
          rehna chah'ey

  • Jo ungliyaan kanton ki nook se darti hain . woh phoolon ki 
          narmi se kabhi lutaf-andoz nahin ho sakt'en

  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...