Chahman main jab bhe saba ko gulaab poochtay hain
Tumhare Aankh ka ehwaal , khwaab poochtay hain
Kahan kahan huaye roshan hamaray baad chragh ?
Sitaray deda-e-tar se hisaab poochtay hain
Woh tisna-e-lab bhe Ajab hain jo moj-e-sehra se
Suraag-e-habas, Mizaj-e-sarab poochtay hain
Kahan basi hain woh yadain , ujarna hai jinhain
Dilon ki baanj zameen se Aazaab poochtay hain
Baras parain teri Aankhain to phir yeh bhaid khula
Sawal khud se bhe apna jawab poochtay hain
Hawa ki humsafri se ab aur kiya hasil
Bas apney shaher ko khana-e-khraab poochtay hain
Jo be-niyaz hain khud apney husan se mohsin
Kahan woh Mujh se mera intikhab poochtay hain
Poet : Mohsin naqvi
No comments:
Post a Comment