Mar 13, 2014

Chupkay chupkay raat din ansoo bahana yaad hai



Chupkay chupkay raat din ansoo bahana yaad hai
Hum ko ab tak woh aashqi ka zamana yaad hai

Tujh se kuch milat hi woh be-baak ho jana mera
Aur tera danton main woh ungli dabana yaad hai

Kheench lena woh mera parday ka kona dafatan
Aur dupatay se tera woh munh chupana yaad hai

Tujh ko jab tanha kabhi pana to az rah-e-lihaaz
Haal-e-dil baton hi baton main jatana yaad hai

Ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf
Woh tera chori chupay raton ko ana yaad hai

Chori chori hum se tum a kar milay thay jis jaga
Mudat'ain guzr'ein par ab tak woh thikana yaad hai

Poet : Hasrat Mohani

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...