Mar 13, 2014

Dasht-e-tanhai main Ae jan-e-jaan larzaan hai



Dasht-e-tanhai main Ae jan-e-jaan larzaan hai 
Teri awaz ke saye , teray honthon ke sarab
Dast-e-tanhai main doori ke khs-o-khaak talay
Khil rahay hain teray pehlo ke saman aur gulaab

Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki anch
Apni kushboo main sulagti hui madham madham 
Door ufaq paar , chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam

Is qadar piyaar se ae jaan-e-jahan rakha kiya hai
Dil ke ruksaar pe is waqat teri yaad ne haat 
Youn gumaan hota hai garcha hai abhi subha furaaq
Dhal gaya hijar ka din A bhi gaye wasal ki raat 

Poet : Faiz Ahmed Faiz

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...