Mujh se pehli se mohabbat meray mehboob na mang
Main ne samjha tha keh tu hai to darkhashaan hai hayaat
Tera gham hai to ghame-e-dehar ka jhagra kiya hai
Teri surat se hai aAalam main baharon ko sabaat
Teri ankhon ke siwa duniya main rakha kiya hai
Tu jo mil jaye to taqdeer nagoon ho jaye
Youn na tha , main ne faqat chaha tha youn ho jaye
Aur bhi dukh hain zamaney main mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasal ki rahat ke siwa
In-ginat sadiyon ke tareek bemana talisam
Raisham-o-atlas-o-kamkhwaab main banwaye huaye
Loat jati hai idher ko bhi nazar kiya kejiye
Ab bhi dil-kash hai tera husan magar kiya kejiye
Mujh se pehli se mohabbat meray mehboob na manag
Poet : Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment