Mar 5, 2014

Jab bahar aye to sehra ki taraf chal nikla



Jab bahar aye to sehra ki taraf chal nikla
Sehne-gul chor gaya dil mera pagal nikla

Jab ussay dhoondney niklay to nishaan tak na mila
Dil main moujood raha Aankh se Ojhal nikla

Ik mulaqaat the jo dil ko sada yaad rahi
Hum jissay umar samjhtay thay woh ik pal nikla 

Woh jo Afsana-e-gham sun kar hansa kartay thay
Itna roye hain keh sab Aankh ka kajal nukla

Hum sukoon dhoondney niklay to pershaan rahay
Shaher to shaher hai jungle bhe na jungle nikla

Kon ayub pershaan hai tareeki main 
Chaand aflaaq pe dil seenay main be kal nikla 

Poet : Ayub Romani

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...