Kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai
Keh zindagi teri zulfon ki naram chay'on main
Guzarney pati to shadaab ho bhi sakti thi
Yeh tair'gi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shua'on main kho bhi sakti thi
Ajab na tha keh main be-gana-e-alam ho kar
Teray jamaal ki ranayon main kho rehta
Tera gudaaz badan . teri neem baz ankhain
Inhi haseen fasano main hehav ho rehta
Magar yeh na ho saka aur ab yeh aalam hai
keh tu nahin tera gham ,teri justago bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay
issay kisi ke saharay ki Arzoo bhi nahin
Zamaney bhar ke dukhon ko laga chuka hoon galay
Guzar raha hoon , kuch anjani raah guzharon se
Maheeb saye meri simat barhtay atay hain
Hayat-o-mout ke pur-hole Khaar'zaron se
Na ko jada-e-manzil na roshni ka suraagh
Bhatak rahi hai khala'yon main zindagi meri
In khala'yon main rah jayon ga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum nafas magar youn hi
Kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai
Poet : Sahir ludhanavi
No comments:
Post a Comment