Main ne chaand aur sitaron ki tamana ki thi
Mujh ko raton ki sihayi ke siwa kuch na mila
Main woh naghma hoon jissay piyaar ki mehfil na mili
Woh musafir hoon jissay koi bhi manzil na mili
Zakham paye hain baharon ki tamana ki thi
Main ne chaand aur sitaron ki tamana ki thi
Kisi gaisoo kisi anchal ka sahara bhi nahin
Rastay main koi dhundla sa sitara bhi nahin
Meri nazron ne nizaron ki tamana ki thi
Main ne chaand aur sitaron ki tamana ki thi
Dil main na-kaam umeedon ke basairay paye
Roshni lenay ko nikla to andheray paye
Rang aur noor ke dhar'on ki tamana ki thi
Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi
Poet : Sahir Ludhanivi
No comments:
Post a Comment