Kabhi kaha na kisi se teray fasaney ko
Na janey kaisay khabar ho gi zamaney ko
Chaman main barq nahin chorti kisi surat
Tarah tarah se banata hon ashiyane ko
Dua bahar ki mangi to itney phool khilay
Kahin jaga na rahi meray ashiyane ko
Chaman main jana to siyaad dekh bhaal ana
Akela chor ke aya hoon ashiyane ko
Meri lahad pe patangon ka khoon hota hai
Hazoor shama na laya karain jalaney ko
Suna hai keh ghair ki mehfil main tum na jayo ge
Kaho to aj saja lon ghreeb khaney ko
Daba ke qabar main sab chal diye dua na salam
zara se dair main kiya ho ga zamaney ko
Ab agay is main tumhara bhi naam aye ga
Jo hukam ho to yahin chor don fasaney ko
Qamar zara bhi nahin tum ko khauf-e-ruswai
Chalay ho chandni shab main unhain bulaney ko
Poet : Qamar jalalvi
No comments:
Post a Comment