Mar 13, 2014

Rabt-e-ba'ham ki ibtida kaghaz



Rabt-e-ba'ham ki ibtida kaghaz
Woh tumhara likha hua kaghaz

Motiyon se sajay huye alfaaz 
Kushbo'on se basa hua kaghaz 

Is pe likha hua tha naam tera
Is liye bhi bhala laga kaghaz

Hijar ki shab main jagti ankhain
Aur askhon main bheegta kaghaz

MAin ne kaghaz pe dil ka bojh likha
Mujh ko dil ki tarah laga kaghaz

Pehlay tukron main bat gaye tehreer
Phir hawa'on ke sang ura kaghaz

Mout shehbaz taiz barish thi
Zindagi raah main para kaghaz

Poet : Shehbaz Khawja

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...