Tum se ulfat ke takazay na nibhaye jatay
Warna hum ko bhi tamana thi keh chahay jatay
Dil ke maron ka na kar gham keh yeh andha naseeb
Zakham bhi dil main na hota to karahay jatay
Kaash ae abr-e-bahari teray behkay se qadam
Meri umeed ke sehra main bhi gahay jatay
Lazat-e-dard se Asooda kahan dil wale
Hain faqat dard ki hasrat se krahay jatay
HAi teray fitna-e-raftaar ka shohra kiya kiya
Garcha dekha na kisi ne sar-e-raahay jatay
Di na mohlat hamain hasti ne wafa ki warna
Aur kuch din gham-e-hasti se nibahay jatay
Poet : Shaan-ul-haq Haqi
No comments:
Post a Comment