- Waqat se pehlay apney iraday ka zikar na karo
- ziada kushali aur ziada bad-hali buraie ki taraf le jatay hain
- Dil ki achaei ya bura'ei ka tab hi pata chalta hai jab is tak rasa'ei ho
warna samandar ki gehra'ei ka andaza sahil par kharay ho kar nahin
lagaya ja sakta
Muskurahat
- Woh muskurahat bari muqadas hoti hai jab kisi ki yaad dil mai aye
aur dil ro'ay lakin honth muskura daien 'kaash koi dekh sakay keh
itni se muskurahat kay liye insaan kitni martaba andar se toot kar
bikhar jata hai
Dukh Sukh
- Sukh ka aik darwaza band hota hai to doosra khul jata hai lakin aksar
hum band darwazay ki taraf itni der tak tak'tay rehtay hain keh hamaray
liye jo darwaza khula hai ussay hum dekh hi nahin patay
Mohabbat
- Mohabbat be-sabab nahin hoti , kabhi is ka sabab insaan ki koi
khwaish hoti hai , kabhi kisi par taras kha kar mohabbat ki jati
hai aur kabhi insaan mohabbat ki talab main mohabat karta hai
No comments:
Post a Comment