Mar 2, 2014

Us ka chehra ru-ba-ru hai Aaj kal

 

 



Us ka chehra ru-ba-ru hai Aaj kal
Aankh her pal ba-wuzo hai Aaj kal


Ik taraf la haq gham-e-duniya hai
Us pe teri justagoo hai aaj kal


Tu he mozo-e-sukhan hai her tarf
Bas tumhare guftagoo hai Aaj kal


Jis ne taray naam ki tazeem ki
Bas wohi Ik sur kharoo hai aaj kal


Rang bikharay hain meray charoon taraf
Main he main Tu he tu hai Aaj kal


Qatra qatra gir raha hai jis main tu
Aank meri Aab-e-jo hai aj kal


Kar raha hoon kyn Usay arshad talash
Woh jo meray chaar soo hai aaj kal


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...