Mar 14, 2014

Woh dil he kiya jo teray milney ki dua na karay



Woh dil he kiya jo teray milney ki dua na karay
Main tujh ko bhool ke zinda rahon khuda na karay

Rahay ga sath tera sath zindagi ban kar
Yeh aur baat meri zindagi wafa na karay

Yeh thek hai nahin marta koi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na karay

Agar wafa pe bhrosa rahay na duniya ko
To koi shaks mohabbat ka hosla na karay

Suna hai us ko mohabbat dua'ein dati hai
Jo dil pe chot to kaye magar gila na karay

Bujha diya hai naseebon ne meray piyar ka chand
Koi diya meri palkon pe ab jala na karay

Zamana dekh chuka hai parakh chuka hai ussay
Qateel jaan se jaye yeh iltija na karay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...