Apr 16, 2014

Moom ki tarh pighaltay huye dekha us ko



Moom ki tarh pighaltay huye dekha us ko 

Rut jo badli badaltay huye dekha us ko

Woh jo kanton ko bhi narmi se cho'a karta tha

Hum ne phoolon ko masaltaye huye dekha us ko

Janay kis gham ko chupanay ki tamna'na hai us ko

Aaj her baat pe hanstay huye dekha us ko

Janay woh mangay jata hai dua'on main kis ko

Hath uthay hi sisaktay huye dekha us ko

Main admi hoon aam sa ik qissa na'tamaam sa



Main admi hoon aam sa

Ik qissa na'tamaam sa

Na lehja be'misaal hai

Na baat main kamaal hai

Hoon dekhnay main aam sa

Udasiyion ki shaam sa

Jaisay aik raaz hoon

Khud se be'niaz hoon

Na mah'jabeeno se rabat hai

Na sohraton ka zabat hai

Ranjha hoon na qais hoon

Insha hoon na faiz hoon

Main pakar-e-ikhlaass hoon

wafa, dua aur ass hoon

MAin shaks khud shnas hoon

Tum hi karo ab faisala

Main admi hoon aam sa

Ya phir bhout hi 'khaas' hoon

Pechlay pehar ki raat thi tanhai aur us ki yaad thi



Pechlay pehar ki raat thi tanhai aur us ki yaad thi

Chaand ne mujh se kaha kon hai

Main ne kaha koi sath nahin

Bola zindagi kaisi hai

Main ne kaha koi khaas nahin

Bola phir kiya chahtay ho

Main ne kaha koi ass nahin

Bola tum ne piyar kiya hai

MAin ne kaha kuch yaad nahin

Bola tumharay sath bhi dhoka hua

Main ne kaha aisi koi baat nahin

Bola phir aik baat kahoon tum se

Main ne kaha koi aitraaz nahin

Bola phir tum ne bhi piyaar kiya hai

Aur ab woh teray sath nahin hai
 


Raat hotay hi ik panchi roz mujhay kehta hai



Raat hotay hi ik panchi roz mujhay kehta hai

Dekh mera ashiyana bhi khali teray dil ki tarah

Muskuranay ki adat bhi kitni mehngi pari hum ko faraz



Muskuranay ki adat bhi kitni mehngi pari hum ko faraz

Chor gaya woh yeh soch kar keh hum khush hain bhout

Husan na mang khuda se naseeb mang ae insaan



Husan na mang khuda se naseeb mang ae insaan

Husan walay aksar naseeb walon ke ghulam hua kartay hain

Hathali samnay rakhna keh sab ansoo girain is main



Hathali samnay rakhna keh sab ansoo girain is main

Jo ruk jaye honthon pe samah jana keh woh main hoon

Kabhi jo chaand ko dekho to tum youn muskura dena

Jo chal jaye hawa thandi to ankhain band kar lena

Jo jhonka tez ho sab se samjh jana keh woh main hoon 

Jo ziada yaad ayon main to tum ro lena jee bhar ke 

Agar hichki koi aye to samjh jana keh woh main hoon

Agar tum bhoolna chayo mujhay shted bhula do mujhay tum

Magar jab bhi saans lena to samjh jana keh woh main hoon

Zara si zindagi hai armaan bhout hain



Zara si zindagi hai armaan bhout hain

Hamdard nahin koi insaan bhout hain

Dil ka dard suna'ein to suna'ein kissay

Jo dil ke bhout qareeb hain woh anjaan bhout hain

Itna tasal'sul to meri sansoon main bhi nahin faraz



Itna tasal'sul to meri sansoon main bhi nahin faraz

Jis rawani se woh shaks mujhay yaad ata hai

Mujhay aj bhi yaad hai woh sardiyon ki shaam



Mujhay aj bhi yaad hai woh sardiyon ki shaam

Jab us ne meray hath pakray

Aur meri ankhon main dekh kar kaha

Keh tumharay hath bhout garam hain

Aur yeh wafadaar logon ki nishani hoti hai

Main bhout kush tha itna kush keh

Main yeh bool gaya keh

Us shaam us ke hath kitnay sard thay

Hum ne us ko toot ke chaha



Hum ne us ko toot ke chaha 

Yeh us ka haq tha lakin

Woh bhi hamain toot ke chahay 

Hum itnay anmol na thay

Mohabbat woh barish hai



Mohabbat woh barish hai 

Jissay choney ki khwaish main 

Hathaliyan to geeli ho jati hain 

Magar hath khali rehtay hain

Abhi justagoo main hoon uski to ehsaas nahin us ko



Abhi justagoo main hoon uski to ehsaas nahin us ko

Ro ro kar pukaray ga us se zara door to janay do

Tum mujhay khaak bhi samjho to koi baat nahin



Tum mujhay khaak bhi samjho to koi baat nahin

Yeh bhi urti hai to ankhon main sama jati hai

Shayed koi tarash kar qismat sanwaar de



Shayed koi tarash kar qismat sanwaar de 

Yeh soch kar main umar bhar pathar bana raha

Ho raat akeli pechlay pehar aur chaand gagan main a jaye



Ho raat akeli pechlay pehar aur chaand gagan main a jaye

Tum chaand ki manind tanha ho yeh baat tumhain tarpa jaye

Kuch khwaab saja ke palkon pe tum chaand se batain kar lena

Hum tumhain yaad to kartay hain tum yaad hamain bhi kar lena

Kuch baat na ho jab aisi hi num ankh tumhari ho jaye 

Tum baat kahin pe kartay ho dil aur kahin pe kho jaye

Jazbaat ke aisay aalam main muskaan labon pe bhar lena

Hum yaad tumhain to kartay hain  tum yaad hamain kar lena

Meri zindagi un khoobsurat mehfalon ki tarh hai dost



Meri zindagi un khoobsurat mehfalon ki tarh hai dost

Jo door se bhout kushgawaar magar andar se sunsaan hoti hai


Bhout purani dushmani hai naseeb ki meri zaat se dost



Bhout purani dushmani hai naseeb ki meri zaat se dost

Kush'naseeb hain woh log jin ka koi apna hota hai


Meri her kushi teray naam ho



Meri her kushi teray naam ho

Teri her ghami meray naam ho

Meri chah'hton ke meharbaan

Meri zindagi teray naam ho

Teri her ada pe ho jaan fida

Teri her nazar ko salam ho

Main hans ke pee lon ga zahar bhi

Jo teray hathon ka jaam ho

Sirf teri chahat main ae sagar 

Meri umar youn tamaam ho

Phir chaand khila phir raat thami



Phir chaand khila

Phir raat thami

Phir dil ne kaha aik tari kami

Phir yaad ke jhonkay mehak gaye

Phir pagal armaan behak gaye

Phir janat se lagti hai zameen

Phir dil ne kaha hai teri kami

Phir guzray lamhon ki batain

Phir jagi jagi se ratain

phir tehar gaye palkon pe nami

Phir dil ne kaha hai teri kami

Meray israar par aakhir bhout majboor ho kar



Meray israar par aakhir 

Bhout majboor ho kar akhir aaj

Mujhay apni nighahon ki 

Udasi sonp de us ne

Bhout be'bas bhout tanha

Bhout bikhri

Mohabbat ki

Haqeeqat khol de us ne

Khalish jo us ke dil main thi

Woh ab meri amanat hai

Shkista lehjay ki jitni thakan thi

Bol di us ne

Meri khtar Mujhay apni mohabbat keh nahin paya

Magar aaj apnay anso'on se

Mohabbat tool di us ne

Dil ki dua'ein sabhi ki sabhi



Dil ki dua'ein

Sabhi ki sabhi

Rang le aye hain

Jab se main ne

Us ke chahray par

Apnay hi

Anso'on ko hanstay dekha hai

Aks-e-jana ki khair ho rabba



Aks-e-jana ki khair ho rabba

Khwaab ankhon samait toota hai

Mohabbat Ki Ik Adhoori Nazam


Mohabbat Ki Ik Adhoori Nazam

sitambar ke maheenay ka shyed woh akhri din tha

Baras guzray kai

Main ne 'Mohabbat' lafaz likha tha

Kisi kaghaz ke tukray par

Achanak yaad aya hai

Baras guzray kae

Mujh ko kisi se baat karni thi

Ussay kehna tha 'Jaan-e-Jan'

Mujhay tum se mohabbat hai

Magar main keh nahin paya

Woh kaghaz aaj tak lipta para hai

Dhool main lakin kisi ko de nahin paya

Dobara chah kar bhi main

'Mohabbat' kar nahin paya

Poet : Naveed Hashmi


Jin rahon pe aik umar teray sath raha hoon



Jin rahon pe aik umar teray sath raha hoon

Kuch roz se woh rastay sunsaan bhout hain

Mil jayo kabhi loat ke phir na ayon shyed

Kamzor hoon main rah main toofan bhout hain

Ik tum hi nahin meri judai main parishaan

Hum bhi to teri chah main veeran bhout hain

Ik tark-e-wafa pe main issay kaisay bhula doon

Mujh par abhi us shaks ke ehsaan bhout hain

Bhar ay'ein na ankhain to main  aik baat kahoon

Ab tum se bichar janay ke imkaan bhout hain

Bhout taiz baraish ho



Bhout taiz baraish ho

Kitna dil chahta hai kabhi kabhi

Chup chaap kharay tanha

Khulay asmaan ke neechay

Bheegtay bheegtay hum achanak 

Be'ikhtiyaar ro jayein

Behtay behtay yeh ansoo

Pani main mil kar pani ho jay'ein

Na tum dekh payo

Na log dekh paye'in

Gham saray dhul jay'ein

Hum youn hi chupkay se jal jay'ein

Jo batain keh nahin sakta ' unhain main farz karta hoon



Jo batain keh nahin sakta ' unhain main farz karta hoon

Chalo main farz karta hoon , mujhay tum se mohabbat hai

Aaj hamain yeh baat samjh main ayi



Aaj hamain yeh baat samjh main ayi

Tum mousam ho aur mousam harjaei hai

Tu ne kaisay moor pe chor diya mujh ko

Dil ki baat chupa'on to ruswa'ei hai

Teray baad bacha hi kiya hai jeevan main

MAin hoon' bheegi shaam hai ' aur tanhai hai

Aaj meri ankhon main sawan utray ga

Aaj bhout din baad tari yaad aye hai

Aak ki raat bhout bhari hai dono par 

Aaj mujhay woh khat lotanay ayi hai 

Janay main kiya soch ky chup hoon gum sum hoon

Janay woh kiya soch ky wapis ayi hai 

 YEh mehmaan nawazi hai ya aur hai kuch 

Meray liye woh chaye bana ky lai hai

Kabhi koshish nahin kartay


Kabhi koshish nahin kartay

Koshish nahin kartay

Muqadar jab mukhalif ho

Dua'ein jab be-asar jay'ein

Sabhi manzar bikhar jay'ein

To aisay main kabhi bagawat ke koshish nahin kartay

Kisi ke sath chalnay ki

Kisi ke dil main basney ki

Kabhi koshish nahin kartay

Kabhi khwaish nahin kartay

Kisi aik shaks ki khatar sab se door ho jana

Kahan ke yeh mohabbat hai

Mohabbat yeh nahin hoti

Mohabbat dil main hoti hai

Mohabbat aks hai 'Rab' ka

KAbhi yeh mar nahin sakti

Hamesha sath rahti hai

Hamesha sath chalti hai

Milay jo hamsafar tujh ko

Usi ke sath chalna tum

Ussay dharkan bana lena

Ussay dil main basa lena

Magar qismat se larnay ki

Lakeeron se ulajhnay ki

Kabhi koshish nahin kartay


Yeh ana-parasti bhi insan ko kis qadar tanha kar dati hai



Yeh ana-parasti bhi insan ko kis qadar tanha kar dati hai

Ana ke haton kaisay toot ke bikhra hoon main

Kiya kiya piyaray chahray thay

Jin se bichra hoon main

Chahron ke hajoom main 

Woh chaand chahera bhula nahin paya

Yeh 'Dard-e-Mohabbat'

Kisi ko suna nahin paya

Mujhay aitaraaf hai keh 

Is ki rafaqat ki mujhay zaroorat thi

Magar hayal darmiyaan hamaray ana thi

Warna mujhay bhi us se mohabbat thi

Is se bichartay waqat 

Meray Pindaar ka bharam na raha 

Lab to khamosh thay 

Lakin ankh se ansoo chalak paray

Meray be'rabat khyalaat main kiya rakha hai



Meray be'rabat khyalaat main kiya rakha hai 

Main to pagal hoon meri baat main kiya rakha hai

Bandh rakha hai teri yaad ne mazi se mujhay

Warna guzray huye lamhaat main kiya rakha hai

Meri kushi meri takmeel teri zaat se hi mumkin hai

Ae ajnabi tu alag ho to meri zaat main kiya rakha hai

Yeh shab-o-roz teray dam se hi tabinda hain

Warna in gardash-e-halaat main kiya rakha hai

Umar bhar sath nibha'yo to koi baat banay

Chand lamhon ki mulaqaat main kiya rakha hai

Kaisay zinda rahay koi sazishon ke mousam main



Kaisay zinda rahay koi sazishon ke mousam main

Ab koi khwaish bhi nahin hai khwaishon ke mousam main

Us ne mujh se mohabbat kuch is tarah ki

Jaisay halki se dhoop ho barishon ke mousam main

Khuli ankhon khwabon ka dekhna inhain sochna inhain poojna



Khuli ankhon khwabon ka dekhna inhain sochna inhain poojna

Bara lutf dati hai zindagi zara jee ke dekho sarab main

Main ne jab yaad kiya yaad woh aya mujh ko



Main ne jab yaad kiya yaad woh aya mujh ko

Is se ziada ussay paband-e-wafa kiya karna

Udaas honthon pe muskurahat ke phool ayein to jaan lena



Udaas honthon pe muskurahat ke phool ayein to jaan lena

Keh dil ke andar ki kuch udasi , bhout udasi main dhal rahi hai

Ik janoon-e-be'mahni ik yaqeen-e-la'hasil



Ik janoon-e-be'mahni ik yaqeen-e-la'hasil

Aur kiya mila hamain teri justago kar ke

Ata hi nahin dil main rehay'ei ka tasawar



Ata hi nahin dil main rehay'ei ka tasawar

Dilchasp bhout jurm-e-mohabbat ki saza hai

Jitni shid'dat se mujhay woh yaad ata hai



Jitni shid'dat se mujhay woh yaad ata hai

Itna tasal'sul to meri sansoon main bhi nahin

Neendon ko tarastay hain khwabon ke tamana'ei



Neendon ko tarastay hain khwabon ke tamana'ei

Ik khwaab ki ankhon ne kiya khoob saza pai

Tu kahan hai keh teri yaad ke hathon ab to



Tu kahan hai keh teri yaad ke hathon ab to

hai meray sath perishaan meri tanhai bhi

Youn hi mousam ki ada dekh ke yaad aya hai



Youn hi mousam ki ada dekh ke yaad aya hai

Kis qadar jald badal jatay hain insaan jana

Mujahy parho to zara ehtiyaat se parhna



Mujahy parho to zara ehtiyaat se parhna

Khud apni zaat main bikhri hui kitaab hoon main

Janay kyn meri ankhon main a gaye ansoo



Janay kyn meri ankhon main a gaye ansoo

Kisi ne hath jo barhaya dosti kay liye

Kuch is tarah se nazar andaaz ho gaye



Kuch is tarah se nazar andaaz ho gaye

Jaisay izaafi harf thay teri zindagi ki kitaab main

Mehsoos kar raha hoon main jeenay ki talkiyaan



Mehsoos kar raha hoon main jeenay ki talkiyaan 

Shayed mujhay kisi se mohabbat nahin rahi

Bicharnay aur judai main zara sa faraq hota hai



Bicharnay aur judai main zara sa faraq hota hai

Juda ho kar kisi se phir kabhi koi nahin milta

Bichar jayein to milnay ka imkaan rehta hai

Juda ho kar kisi ki yaad dil main reh sakti nahin

Bichar jayein to dil main ik diya jalta hi rehta hai

Juda ho kar kisi ka piyar dil main reh nahin sakta

Bichar jayein to dil main bas usi ka piyar rehta hai 

To phir ae ham'sakhan meray tu mera faisala sun le

Mujahy tum se bicharna hai juda tum se nahin hona

Yeh soch kar uski her baat ko sach mana hai faraz



Yeh soch kar uski her baat ko sach mana hai faraz

Keh itnay khoobsurat lab jhoot kaisay bolain ge

Kabhi ulfat bhara lehja kabhi utra hua chehra



Kabhi ulfat bhara lehja

Kabhi utra hua chahera

Samjh main kuch nahin ata

Bata mera gunnah kiya hai

Meri uljhan mita tu de

Mujhay itna bata tu de

Main mujram hoon ya mehram hoon

Saza kiya hai jaza kiya hai

Meri sansain to chalti hain

Teri yadon se ae hamdam

Nahin fursat keh yeh sochon

Fanah kiya hai baqa kiya hai

Mera yeh dil, Meri dharkan 

Meri sansain yeh sab mohsin

Yeh sab kuch naam teray hain 

Bata peechay bacha kiya hai

Poet : Mohsin naqvi



Youn khud ko jalanay ka sabab khaas nahin hai



Youn khud ko jalanay ka sabab khaas nahin hai

Bas tum se mohabbat ki saza kaat rahay hain

Baat kartay huye piyaar se mat dekh mujhay



Baat kartay huye piyaar se mat dekh mujhay

Toot jaye ga tasalsul meri go'yaei ka

Jab chalay to tanha thay safar main mohsin



Jab chalay to tanha thay safar main mohsin

Phir tum milay gham milay tanhai mili qafl asa ban gaya

Bari mushkil se sulaya hai khud ko main ne



Bari mushkil se sulaya hai khud ko main ne

Apni ankhon ko teray khwaab ka lalich de kar

Youn hi log ussay meri mohabbat samjh baithay



Youn hi log ussay meri mohabbat samjh baithay

Woh shaks mujhay jaan se piyaara tha bas

Nahin woh shaks muqadar main



Nahin woh shaks muqadar main phir bhi us se miltay hain faraz

Bara pur-lutaf lagta hai muqadar ko saza dena


Her shaam yeh sawaal , mohabbat se kiya mila



Her shaam yeh sawaal , mohabbat se kiya mila

Her shaam yeh jawaab keh her shaam ro paray

Yeh us ka tarz-e-takhatab bhi khoob hai Mohsin



Yeh us ka tarz-e-takhatab bhi khoob hai Mohsin 

Ruka ruka sa tabasum khafa khafa aankhin

Tumhain jab kabhi mil'ein fursatain meray dil se bojh utaar do



Tumhain jab kabhi mil'ein fursatain meray dil se bojh utaar do
Main bhout dino se udaas hoon , mujhay koi shaam udhaar do

Mujhay apnay roop ki dhoop do, keh chamak sak'ein meray khad-o-khaal
Mujhay apnay rang main rang do , meray saray rang utaar do

Kisi aur ko meray haal se na gharz hai na koi wasta
Main bikhar gaya hoon smait lo, Main bigar gaya hoon sanwaar do

Meri wehshton ko barha diya hai judayion ke azaab ne
Meray dil pe hath rakho zara , meri dharkano ko qaraar do

Tumhain subha kaisi lagi meri khwaishon ki diyaar ki
Jo bhali lagi to yahin raho , issay chah'ton se nikhaar do

Wahan ghar main kon hai Muntazir keh ho fikar dair sawair ki 
Bari muktasir se yeh raat hai issay chandani main guzaar do

Koi baat karni hai chaand se, kisi shak'saar ki oat main
Mujhay rastay main yahin kahin , kisi kanj-e-gul main utaar do

So baar chaman mehka so baar bahar ayi



So baar chaman mehka so baar bahar ayi

Duniya ki wohi ronaq dil ki wohi tanhai

Yeh raat ki khamoshi yeh alam-e-tanhai 

Phir dard utha dil main phir yaad tari aye

Is aalam-e-veeraan main kiya anjuman araei

Do roz ki mehfil hai ik umar ki tanhai

Her dard-e-mohabbat se uljha hai gham-e-hasti

Kiya kiya hamain yaad aya jab yaad tari aye

Hum log samandar ke bicharay huye sahil hain

Is paar bhi tanhai us paar bhi tanhai

Kuch mohabbtain ghaas par jami kohar ki tarah hoti hain



Yeh Mohabtain

Kuch mohabbtain ghaas par jami kohar ki tarah hoti hain

Jo andar hi andar gala kar rakh dati hain

Kuch mohabtain kohsaron par jami baraf ki tarah hoti hain

Jis ko koi nahin pighla sakta

Kuch mohabtain chaand ki taraf lapaktay chakor ki tarah hoti hain

La'hasil sirf la'hasil

Ussay kehna agar milna nahin assan to likh bhaigay woh kaisa hai



Ussay kehna keh

Milna nahin asaan to likh bhaigay

Woh kaisa hai

Bhout dino se yeh dil udaas rehta hai

Tabiyat bhi machalti hai

Kabhi thokar jo lagti hai

Zehan mera na janay kyn

Usi ki simat jata hai

Ussay koi pathar koi kanta laga na ho

Khudiya woh salamat ho 

Ussay kehna agar milna nahin assan 

to likh bhaigay woh kaisa hai

Aag ke shaher maint tinkay ki haqeeqat kiya thi !



Aag ke shaher main

Tinkay ki haqeeqat kiya thi !

Dasht par phool ka saya tha mohabbat kiya thi !

Zakham thay , Dard tha 

Tanhai thi , Veerani thi

Kiya batyon keh

Teray ishq main rahat kiya thi

Tujh ko chaha hai

Nahin teri ibadat ki hai

Aik pathar ko magar is ki zaroorat kiya thi

Aik muddat hui izhaar-e-mohabbat kar ke

Aj tak soch raha hoon

Himaqat kiya thi

Kiya batyon keh yahan 

Pooch rahay hain sab log

Woh jo guzri hai meray dil par

Qayamat kiya thi

Adhoori batain jo kar gaye ho



Adhoori batain jo kar gaye ho 

Meray hi dil main utar gaye ho

Kisi ki chahat ka yeh asar hai

Keh reza reza bikhar gaye ho

Tumhi to ho jo hamaray dil ki

Hadon ko cho kar guzar gaye ho

Hamara thamo ge haath kiya tum

Keh abhi zamanay se dar gaye ho

Chalay gaye ho nazar jhuka ke

Hamain dewana sa kar gaye ho

Bhool behtay ho ahad saray

Abhi se kyn mukar gaye ho

Dhoondti hai yeh nazar tum ko wasi

Aa bhi jayo kidhar gaye ho

Poet : Wasi Shah

Sitam ko maslahit husan-e-taghafal ko ada kehna



Sitam ko maslahit husan-e-taghafal ko ada kehna

Ussay ab aur kiya likhna ussay ab aur kiya kehna

Yeh rasam shaher-e-pursa hamaray dam se qayam hai

Keh her aik ajnabi ko mukura kar ashna kehna

Hazaron hadsay tujh par qayamat ban ke tootay hain

Tu is par bhi salamat hai Dil-e-kush faham kiya kehna

Dil-e-be'qaraar ko be'talab jeenay ki adat hai

Mujhay acha nahin lagta dua ko iltija kehna

Meray 'Mohsin' yeh adaab-e-musafat seekhna hon ge

Bhat'taktay jugnoon ko bhi safar ka asara kehna

Apr 15, 2014

Kis dil main kya chuppa hai



Kis dil main kya chuppa hai
Sirf Khuda jaanta hai 

Dil agar be'niqaab hotay 
socho kitnay fasaad hotay

Dilon main phir se nai chahtain saja baithay



Dilon main phir se nai chahtain saja baithay

Galay milay to sabhi ranjashain bhula baithay

Woh jis ko piyaar ka mafhoom tak nahin maloom

Usi ke dar pe kyn jaan-o-dil luta baithay

Kiya khabar thi keh hawa'ein wafa nahin karti

Unhi ke doosh pe phir kyn diy'ey jala baithay

Hum un ke qurb main be-ikhtiyaar hotay hain

Jo baat dil ne chupai wohi bata baithay

Jo pathron ke hawalay se moh'tabar hai bhout

Hum aisay shaher main sheeshay ka ghar bana baithay





Guftagoo achi lagi zouq-e-nazar acha laga



Guftagoo achi lagi zouq-e-nazar acha laga

Mudaton ke baad koi hamsafar acha laga

Zindagi ki be sar-o-samaniyon ke ba-wajood 

Aaj tu aya to mujh ko apna ghar acha laga

Manzalon ki baat choro kis ne pae'ein manzalain

Ik safar acha laga ik humsafar acha laga

Soch kar chuni hai main ne akhri araam gaah

Main tha matti aur mujhay matti ka ghar acha laga

Baray masoom jazbon se woh apnay shokh haathon par



Baray masoom jazbon se 

Woh apney shokh hathon par

Wafa ki surkh mehndi se

Kisi ka naam likhti hai

Jissay woh piyaar karti hai

Magar woh na samjh larki

Abhi tak yeh nahin janti

Keh sapnay toot jayein to

Bhout barbaad kartay hain

Yeh ujhlay rang hathon par 

KAbhi tehra nahin kartay

Mohabbat to haqeeqat hai

Koi sapna nahin hota

Kisi ka naam likhnay se 

Koi apna nahin hota

Ajnabi shaher hai ajnabi log hain



Ass

Ajnabi shaher hai

Ajnabi log hain 

Phir bhi main

Chal raha hoon

IS ass main keh

koi to apna ho ga

Koi to piyara ho ga

Tha qalb-e-ilaaj gham-e-zindagi magar



Tha qalb-e-ilaaj gham-e-zindagi magar 

Jis ki talash thi woh maseeha nahin mila

Qismat ki baat hai ke  'wasi' aaj tak

Dil walay to bhout milay par koi dil se nahin mila

Do chaar baras ka qissa hai jab main ne us ko dekha tha



Do chaar baras ka qissa hai jab main ne us ko dekha tha

Woh chahera na janay kyn mujh ko apna apna lagta tha

Woh jadoo tha un ankhon main Main uljha uljha rehnay laga

Madhosh kiya youn khwaabon ne her shaks hi pagal kehnay laga

Her baat pe main shrmata tha, kuch kehnay se ghabrata tha

Par samney jab woh ati thi , main us ko takta jata tha

MAin us se dil ki baat kahon yeh lamha bhi khuch door na tha

Bas collage main yeh baat uri , main go itna mashoor na tha

Phir aik din shaam dhalay main ne us jaan-e-ghazal ko rok liya

Aur rok ke apni sansson ko iqraar kiya izhaar kiya

Yeh piyaar ki batain sun kar woh kuch der talak khamosh rahi

Uljhya hath main palu woh sharma'ei aur ghabra se gaye

Aur boli suniyae

Main samjha chahat jeet gaye , naadan tha main maloom na tha

Jis shaks se piyaar ki reet gaye

Kuch roz huye kisi se main ne suna

Woh jo chahat ki davi thi

zar walay us ko jeet gaye woh bhi daulat pe marti thi

Yeh manzil agarcha khwaab hui 

Main aaj bhi aik musafir hoon 

Yeh hasil bhi to kuch kam nahin

Main us se bichar kar shayar hoooooon !!!!



Meray be-rabat khyalat main kiya rakha hai



Meray be-rabat khyalat main kiya rakha hai

Main to pagal hoon meri baat main kiya rakha hai

Baandh rakha hai teri yaad ne mazi se mujhay

Warna guzray huye lamhaat main kiya rakha hai

Meri takmeel teri zaat se hi mumkin hai ae ajnabi

Tu alag ho to meri zaat main kiya rakha hai

Youn shab-o-roz teray dam se hi tabinda hain

Warna in gardash-e-halaat main kiya rakha hai

Umar bhar sath nibhayo to koi baat banay

Chand lamhon ki mulaqaat main kiya rakha hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...