Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa
umar guzari tujhay dekhay huye tujhay behlaye huye
yaad hai hum tujhay dil mantay thay
apnay seeney main machal'ta hua zidi bacha
teray her naaz ko ungli se pakar kar aksar
nit naye khwaab ke bazaar main le atay thay
teray her nakh'rey ki farma'esh par
ik jeevan ki tamana'on ki be'naei se
hum dekhtay thak'tay hi na thay
sochtay thay ik chota sa naya ghar
mohabbat ki fiza hum dono
aur kisi baat pe taki'yon se laraei apni
phir lara'ei main kabhi hanstay huye ro parna
aur kabhi rotay huye hans parhna
phir thak haar kar gir par'ney ka masoom kushi-baksh khyal
yaah hai
yaad hai hum tujhay sukh jantay thay
raat hans par'ti thi be'sakhta darshan se teray
din teri doori se ro parr'ta tha
yad hai
yad hai
yaad hai hum tujhay jaan kaha kartay thay
teri khamoshi se mar jatay thay
teri awaz se jee uth'tay thay
tujh ko choo lenay se ik zindagi aa jati thi shar'yano main
thaam lenay se koi shaher sa ban jata tha veerano main
yaad hai
yaad hai
yaad hai hum tujhay milney kay liye
waqat se pehlay poonch jatay thay
aur mulaqaat ke baad
hum bhout der se ghar atay to kehtay
hamain kuch na kaho hum bhout door se ghar aye hain
is qadar door se ghar aye hain keh shayed hi koi aa paye
yaad hai
yaad hai ? hum tujhay bhagwaan samjhtay thay
magar kufar se dar jatay thay
teray chin janay ka dar
theek se rakhta tha musalmaan hamain
yaad hai
yaad hai
Aa kisi shaam kisi yaad ki dahleez pe aa
teray bhoolay huye rstay pe liye phirta hai emaan hamain
aur kehta hai keh pehchaan hamain
yaad hai
yaad hai ? hum tujhay emaan kaha kartay thay
emaan kaha kartay thay
Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa
No comments:
Post a Comment