kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jitna tujhay chaha tha
socha tha teray lab par
kuch harf dua'on ke
kuch phool wafa'on ke
mehak'ein gey meri khatir
kuch bhi to nahin waisa
jaisa tujhay socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jhailay thay jo ab tak
be'naam musafat main
likhney ki mohabbat main
parh'ney ki zaroorat main
be'sood riayazat thi
be'faiz ibadat thi
jo khwaab bhi thay dekhay
in jag'ti ankhon main
sam khaam khyali thi
phir bhi tujhay paney ki
dil key kisi goshay main
khwaish to bacha li thi
lakin tujhay pa kar bhi
aur khud ko ganwa kar bhi
is habas ke mousam ki khirki se hawa aai
na phool se kushboo ki koi bhi sada aai
ab neend hai aankhon main
na dil main woh pehli si taza sukhan ara'ei
na lafaz meray niklay
na harf-o-mahni ki daanish meray kaam aai
na'deeda rafaqat main
jitni bhi aziyat thi
sab meray hi naam aai
kuch bhi to nahin waisa
jaisay tujhy socha tha
jaisay tujhy chaha tha.....!
No comments:
Post a Comment