May 20, 2014

gungunatay huye anchal ki hawa de mujh ko


gungunatay huye anchal ki hawa de mujh ko

ungliyan phair kar balon main sula de mujh ko

jis tarah faltoo guldaan paray rehtay hain 

apnay ghar ke kisi konay se laga de mujh ko

main teray hijar main chup chaap na mar jayon kahin

main saktay main kabhi a kar rula de mujh ko

roothna tera meri jaan liyea jata hai

aisay naraz na ho , hans ke dekha de mujh ko

aur kuch nahin manga meray malik tujh se

us ki ungliyon ki khaak bana de mujh ko

log kehtay hain keh yeh ishq nigal jata hai

main bhi is ishq main aya hoon , dua de mujh ko

Poet : Wasi Shah

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...