May 20, 2014

Ana ke sath kuch lamhay bitana thek hai lakin


Anaa kay saath kuch lamhay bitana theek hai lakin 
Anaa kay saath sab lamhay bitana sakhat mushkil hai 
Kamal main us ki teeron ka zakheera kam nahin hota 
Khata us ka nishana ho 
Yeh mumkin hi nahin jana 

Anaa kay haath se tootay huye taaray
Kabhi jurtay nahin dekhey 
Samnadar kay kinaray jis tarah miltay nahin dekhay
Anaa kay saath kuch lamhay bitana theek hai lakin 
Anaa kay saath sab lamhay bitana sakhat mushkil hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...