Safha-e-waqat pe tehreer badal jaati hai
Ayat-e-hijar ki tafseer badal jaati hai
Aisa ik waqat bhi aata hai meri neend pe jab
Khawab se pehlay hi tabeer badal jaati hai
Ab to her lamha mera qaid main kat jaata hai
Farq sirf itna hai zanjeer badal jaati hai
Waqat her baat ko mehfooz to kar leta hai
Haan ! magar baat ki taseer badal jaati hai
Parhta rehta hoon main haathon ki lakeerain youn bhi
MAin yeh sunta tha keh taqdeer badal jaati hai
Aik muddat se ussay dekh raha hoon "Mohsin"
Choona chahon to woh tasveer badal jaati hai
No comments:
Post a Comment